Prophet Yousuf (Joseph) Complete Story

Prophet Yusuf (Joseph) Complete Story


In this post, you will see Prophet Yousuf's (Joseph) Complete Story. We also upload the other prophet's story. We wrote this Prophet Yousuf in Roman English so that the roman people could read or understand easily but we will also write all prophet stories in Urdu and English. We just need your support to rank our website on the first page so that we all post-show on top searches. Please share this Prophet Yousuf's (Joseph) Complete Story with all people. Also, read this Prophet, Ibrahim Story.



Prophet Yusuf (Joseph) Complete Story

Prophet Yousuf (Joseph) Complete Story








We Also Recommended



Story Of Prophet Ibrahim


Story Of Hazrat Hud


Prophet Adam Story


Prophet Saleh Story


Prophet Nuh Story


Prophet Idrees Story


Prophet Sheesh Story


Habeel And Qabeel Story




 Hazrat yaqoob A. S shaam k aik qila kinaan me rehty thy. In k 12 baity thy.In mese Aik Hazrat Yousaf b thy. Hazrat Yousuf bohat naiq or khubsurat thy.inki naiqi or fermnbrdari k sbab Hazrat yaqoob A. S inhy bohat chahty thy. Hazrat yousaf k aik bhai ka naam binya meen tha ap dono saghy bhai thy baqi 10 sotely thy. 

Aik raat hazrat yousaf ne aik ajeeb khwab daikha or apny Abba se Kaha k abba jaan me kya daikhta hon k tmam soraj, chaand sitary mujhe sajda ker rhy hn ye kaisa khwab hai? 

Halnky kainaat ka her zrra Allah ko sajda Kert hai or wahi is k laiq hai. 

Unk baap ne kaha baita ye aik acah khawab hai Allah tumhy bohat bhra Mertba baKhshy ga laikin Iska zikr apny bhayo'n se na kerna ho sakta hai wo tumhry dushman ban jayn.. 

Allah tumhy nabowat bakhshy ga jaisa k tumhary khandan me ibraheem or tumhary dada ishaq ko nabi bnaya tha tum bohat khush naseeb ho.

Khwab sunny k baad hazrat yaqoob A. S hazrat yousaf A. S ko or chahny lagy. Apk bhai ye sab daikh ker hasad ka shikar hony lagy. Us zmane me ik rwaaj tha k jis khandan k afraad zyada hoty thy usko taqat war samjha jata tha. Hazrat yousaf k bhai ye sochny lagy k hum jismani qoowat b rakhty hn or taqat war b hn or mushkil waqat me kam b asakty hn phr b hmary baap ki nzr me yousaf he sab kuch hai. 

Aik din sab bhai baith k mashwra kerny lagy sab ne apni apni raay di k yousaf ko maar daina chahye.... 

Ik ne raaey di k usy andy kinw'yn me phank daina chaye jahn kisi ki nzr nahi pery gi or koii utha ker ly jaye  ga is baat ko sab ne tasleem kiya...


Aik din tmam bhai akhaty ho ker apny walid k pas gaye or kehny lagy :


" Abba jaan hum sab seer kerny jha rahy hn  ,wahn hm sab khailyn gy or tmasha daikh ker aona dik behlayn gy , ap yousaf ko b hmary sath baijh den uska b dik behl jaye ga.

Baap ne kaha :

"mera dil nahi kerta me yousaf ko apni ankhon se door kron"


Baito'n ne kaha:


"apko hum per bhrosa nahi hum sab yousaf ko bohat chahty hn is ss mouhabbt b kerty hn hm sab iski nighbani kren gy., sath ly k jayn gy or sath he wapis laey gy"


Baap ne kaha :


"tum ly jao gy to me ghum me raho'n ga ye na ho tum ghaflat me pr jao or bairya utha ker ly jaye.


Baito'n ne kaha :


" hum sab sath smjayn gy mil ker kahilyn gy phr kaisy bairya ly jaye ga"


 Chunacha wo yousaf A. S ko sath ly gaye or wahn samny ik kinwa'n nazr aya


Aik ne uski trf ishara kiya sab batien kerty howy us kinwa'yn ki trf chal diye. Yousaf ka kurta utara or usy kinway'n me dhaka dy diya. Hazrat yousaf cheenkhty rhy laikin kisi ko trs na aya... 

Sab bap k pass gaye or unhy jhoti kahnaii suna dii k hum sab khail rhy thy or yousaf ne khail me shirkat nhi ki to hum ne usy saman ki nighabani k liye bitha Diya. Ye keh k sab ne roena shuro kr diya taky baap ko yaqeen a jaye....yousaf wahn akaika tha achank kisi trf se bairya aya or usy ly ker chla gya. Hum usk pichy baghy laikin bairye tak na pohnch paye..

Bhaion ne qoway’n mn daal diya ur Aallah ki qudrat k whaan se aik qaafla guzra unhain paaani ki haajt ho rahi thi unho ne paani leny k lye qowain mn dool dala tu whaan se opaani any ki njaye aik lrkaa cheekh raha tha unho ne yousaf ko qowain se nikala tu sb heran thay k mamla aakhir kyaa ha lrkaa qowain mn kesay gira…………..us zmany mn insanon ki khreedo frokht howa krti thi un sb ne faisala kiya k hazrat yousaf ko miser ly jaa kr baich dain gy ur acha mawzaa haasil kr lain gy……………..

Kehtay hain tb misar kaa aik wazeer tha jis ki koi olaad nahi thii  chonkay hazrat yousaf khobsoorti ki aik missal thay.azeez e misar ne unki apni olaad kii trha perwrish kerna shuro kr di. Jab hazrat yousaf 18 saal k howy to wo thory samjhdar ho gaye is trha ghar k mamlaat b unk hath me agye….hazrat Yousaf is qader khubsurat thy k jo oraat b unhy daikhti un per fida ho jhati …azeez e misar ki bivi jis ka naam zulaikha tha yousaf ki khubsurti ki dewani ho gai, halnky, us ne khud unki perwrish kit hi.

Aik din  zulaikha ne Yousaf ko aik kamry me bhula ker andr se derwaza band ker liya .hazrat yousaf bohat khuda daar thhy. Unho’n ne bahir jany ki koshish ki to zulaikha ne unka kurta pechy se khaincha ,,jis ki wajha se yousaf k akurta phat gya. Jaisy he Hazrat Yousaf bahir nikly azeez e misar b wahn ponch chukka tha… usy daikh ker zulaikha ne Hazrat Yousaf per ilzam lgna shuro kr diya.. k yousaf k irady theak nahi hen…ye sun ker azeez e misar ne Yousaf ko qaid kerny ka hukam dy diya or Yousaf ki aik baaat na suni.

 Azeez e misar k  khandaan ka aik admi zulaikha se achi trha waqif tha usy zulaikha ki bation er yaqqen na howa ..us ne azeez e misar ka gusa thanda kerwaya or kaha k agr yousaf ka kurta agy se phta howa tu yousaf  se ghalti ser zed hoi hai laikin agr kurta pechy se phta hai to ghalti zulaikha ki hai….azeez e misar ne jab daikha k yousaf ka kurta agy se phta howa Hai….. is trha yousaf ki sachai sab per sabit ho gai .Azeez e misar  ne zulaikha ko batien sunna shro kr di…. Zulaikha ne kaha k jis azmaish se me guzri hon tum sab ko b us se guzaro’n gi …kuk tmam loghe zulaikha ko trha trah ki batien suna rhy thy. 

Zulaikha ne aik din tmam ort’n ko apny ghar bulaya or unk hatho’n me fruit or chako dy diya or yousaf ko andr bula liya. jaisy he Yousaf mehfil me dakhil howy tmam orto’n ne apny hath kaat liye. Zulaikha ne un sab se aisa kerny ki wajha pochi to us ne kaha k Ma shaa Allah ye koi basher nahi balky, frishta hai.


Zulaikha ne kaha mene isy apni terf mail kerny ki koshish ki laikin wo bach nikla,ager is ne meri baat na mani to me isy qaid kerwa don gi ……

Is per Yousaf ne fermya:

    “A Rub mujhe qaid passand hai laikin is k paas jana passand nahi ,A Allah tu mujhe bacha ly ager me isk paas chla gya tu me jahilo’n mese ho jaon ga.

Jab Yousaf ne zulaikha k qareeb any se inkaar kr diya to usy qaid kr diya gya tu unhy qaid ker diya gya…tmam urty’n janti thyn k yousaf qaid khaney me qaid thy.wo wahn ALLAH  ki ibadat kerty thy or wahn logho’n ko islam ki dawat b daity thy.Jab ap wahn gaye to 2 or qaidi qaid khaney me aye .un mses aik badsha ko shraab pilata tha or bawarchi khany ka officer tha.

Dono ko be qasoor hony k bawjood qaid khaney me daal diya gya tha..jaisa k Yousaf tmam logho’n ko naiqi ki baat batty thy is liye qaid khaney k loghe ap se aaqeedadt rakhty thy wo janty thy k ap aik naiq insane hen…..Aik din un 2no mese aik ne kaha mene khwab me daikh hai k me badshah ko shraab pila raha hon or dosry ne kaha k mne khwab me daikha k mery ser per rotyn hn or prindy unhy noch noch ker kha rahy hen…..unho’n ne ap se khwab ki tabeer pochi to yousaf ne unhey tabeer btany se phly kaha k tum loghe Allah k sewa butto’n ki pojha kerty ho.jabky me or mery baap ,dada sab aik khuda ko mannty hen or Allah ka fazal b hum per qaim hai.laikin kuch loghe shuker nahi kerty…

Yousaf un qaidyo’n ko tableegh kerty thy or unhy naiqi ki batien batty thy ..Yousaf ki bation ne un per aser kiya or wo 2no qaidy’n ne islam qabool kr liya…phr unki apny khawabo’n ki tabeer pochny per Yousaf ne unhy btya k tum mese jho badsha ko shraab pila raha hai wo aqqa ko shraab pilaye ga or jis k ser per roty’n hen wo solii per chary ga.yousaf aik aar’sa tak bgair kisi galti k qaid khaney me sza katty rahy.

Aik din badsha ne apny sary wazeero’n ko bulaya or kaha k me ne ik khwab daikha hai tum mese kon mujhe is ki tabeer batye ga unho’n ne khwab pocha tu badsha ne btaya k mene khwab m daikah hai k:

“7 dubli patli gaaey’n kha rahi thy,7 moti ghaaeyn,annajh ki 7 baley’n hari or taza thyn,or 7 sokhi baly’n thyn.laikin sokhi balyn hari balyn kha rahi thyn.iska kya matlb howa?

Musahbo’n ne kaha k hum is khwab ki tabeer btany se qaser hen jab ye khaber shraab pelany waly tak ponchi(wo jail se reha ho chukka tha)tu us ne badshah ko Yousaf k bhary me btay or badsha se kaha k mujhe Yousaf k paas baijh do me us se khwaab ki tabeer maloom ker k wapis ajao’n ga .badsha ki ijhazat per wo Yousaf k pas gya or usy sara khawab sunaya ….Yousaf ne kha is khwab ki tabeer ye hai k

“7 sal tak mulk me khub anajh or phal ho ga,aney waly 7 sal achy nahi hon gy.anajh paida nahi ho ga ,qaehatpery ga abi 7 sal k ander jo anajh ho ga khany k sath sath usy bacah ker b rakahana ho ga ………

Bacha howa anjh qehat k dino’n me kaam aye ga ager loghe bacha ker nahi rakhyn gy tu qehat k dino me bookh se mer jayn gy,or anaajh balyn me he rakhna ho ga taky khrab na ho,chuachy 7 sal achy ray’n gy is doraan ye faida ho ga k khub barish ho gi anaajh bohat paida ho ga.


Jab  khadim ne yousaf ki kaho hoii batien badshah ko jha ker btai’en tu badshah ne yousaf se milny ki khwaish ka izhaar kiya taky wo Yousaf se or bate’n maloom ker saky . Yousaf aik zaheen or naiq dil insane maloom hota hota .Yousaf ko jab badshah ki batien btai gait u us ne insaaf chaha… Yousaf ne zulaikha ki tmam sachai khadim ko btai ur khadim ne ye zubani badshah ko suna di……

Badshah ne zulaikha or dosri orto’n ko bulaya or taky asal sbab maloom ho saky …zulaikha ne apni ghalti ka itraaf ker liya .or orto’n se jhab hath katny ki wjha pochi gai tu unho’n ne kaha k Yousaf ko daikh ker hmary hosh urr gaye thy. Wo insane nahi frishta hai .jab Yousaf ki be gunahi sab per sabit  ho gai to badshah ne hazrat Yousaf A.S ko bulaya or kaha k me tumhary sary mamlat se waqif ho gya hon.,me apko khas mertba don ga ,ap izat waly hen me apko apny pas rakhon ga,Mujhe ap per bhrosa hai ,ap ne khwab ki tabeer btai k pehly 7 sal khub paidawaar ho gii or baad k 7 sal qehat pery ga , me chahta hun k ghaly ka intzam apk hath me dy don.

Hazrat Yousaf ne manzoor ker liya or ye kaam bakhoobi injham diya .is trha tmam loghe qehat se bach gaye. Hazrat Yousaf ne azeez e misar ki jgha ly lit hi ab wo hkomat kerny lagy.Mulq e sham k ilaqy kinan me ghla na milny per qehat per gya . loghe kinan se misar ghla lainy k liye aya kerty thy. Hazrat Yaqub A.S k 11baity  thy jin mese 10 baity b ghla lainy k liye Yousaf A.S k pas aye thy.Yousaf A.S se mulaqat ki or apny walid ka naam Yousaf btay or jo bhai na aska uska naam binyameen btaya .Yousaf A.S samjh gaye thy k ye mery bhai ki hn jinho’n ne mujhe kinwy’n me dkhela tha.

Yousaf A.S ne unhy ghla dy diya or ghaly ki qeemat b un se wasool ker li… or un se kaha k ye sirf tmhary hisy ka gjla hai tumhara bhai or baap jab tak khud nahi ay’n gy me ghla nahi don ga…….bhayo’n ne kaha k hmara baap bora hai wo nahi askta.Yousaf A.S ne kaha apny bhai binya meen ko ly ana me usy he tmary baap k hisy ka b ghla dy don ga . jab ghla wapis ly jany k liye akhta kerny lagy to Yousaf ne wo qeemat unk ghaly me he wapis rkhwa di .Jab wo baap k pas pohchy unhy sab btaya tu baap ne binya meen ko unk sath baijhny se saaf inkar ker diya .Yaqoob A.S ne kaha k me phly he apna aik baita tum logh’n k sath baijhny ki wjha se khoo chukka hun. Me abi tak yousaf ka ghum nahi bhola , me binya meen ko tumhary sath her ghiz nahi bhaijho’n ga.

Baito’n ne jhab ghla khola tu us me wo qemat (jo unho’n ne ghly k ewz di thi) daikh ker bohat khush howy or baap se binya meen ko sath ly jany k liye or zid kerny lagy.

Yaqoob A.S ne un se wada liya k wo apny bhai ki hifazt kre’n gy or us sath ly ker he wapis ay’n gy 

Tmam bhai binya meen ko ly k yousaf k paas pohnchy …..Yousaf ne binya meen ko apny bhai hony ki schai bati or kaha k hmary sutely bhaiyo’n ne jho kuch b kiya hmy is per sabr kerna hai….ap ne binya meen k ghaly me badshah ka pyala b rakh diya.or jhab wo sary bhai ghla ly ker rwana howy to azeez e misar ne unk pechy sapahy’n ko baijh diya.sapahyo’n ne kaha binya meen k pas badshah ka pyala hai wo usy qaid kerk yousaf k pas ly aye…. Yousaf ne kaha k me isy rehaa nahi kron gat um loghe apny baap se iski chorii k bhary me byan ker daina …wo tma bhai jhab baap k pas pohnchy tu unho’n ne kaha k tum sab batien bnaty ho .

Yaqoob ne kaha jao yousaf or usk bhai ko tlaash kero,Allah se na umeed na ho.tmam bhai misar pohnchy or azeez e misar ko sab btaya k hmara baap nabena hai hm bohat preshan hen hmary pas jho b jhma ponjhi thihum ly aye hen. Humy ghla dy dinye.Yousaf ne kaha tum ne yousaf k sath kaisa bertao kiya tha .ye sab tumhari nadani or jaahalt k sbab howa.Bhayo’n ne jab ye suna tu choonk uthy or pocha k kya tum ne yousaf ho?

Unho’n ne jwab diya tum theak kehty ho me he yousaf hun…. Bhay’on ne yousaf se apni ghalti ki maafi mangi.

Tu yousaf ne unhy maaf ker diya or kaha me badla nahi laita ,Allah he sab se bhra raheem or kareem hai wahi maaf kerny wala hai.


Yousaf ne kaha mera jhma ly jao ur jha ker baap k ser per rakh daina or usy mera salam kehna ,Allah unki benai wapis lota dy ga.unho’n ne aisa he kiya jhab baap ko pta chla k yousaf zinda hai tu uski khushi k akoi thikana na raha …..phr baito’n ne baap se maafi mangii .

Yaqoob ne inhy tasalii daity howy kaha:

    “A mery baito’o ! me apny rub se tmhary gunah bakhswao’n ga wo be hud bakhshny wala hai”

Is trha sab mil gaye


Next Comming Soon..........

Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers

hard islamic quiz questions and answer