Hazrat Sheesh Alaihissalam Story


Hazrat Sheesh Alaihissalam Story



Hazrat Sheesh Alaihissalam


In this post, we will share Hazrat Sheesh Alaihissalam Story in roman English / roman Urdu. So that people could easily understand this story. Please complete read this story and learn the qualities of the prophet and follow their life. So that we can succeed in the life hereafter. If this Hazrat Sheesh Alaihissalam Story is very helpful for you or if you learn something from this story then you can share this Sheesh Alaihissalam Story with your friends and relatives. Also, check this Habeel And Qabeel Story.


 

Habeel k qatal hone per Hazrat Adam A.S ko bohat sadma pohncha .Allah tala’ah ne Habeel k sadmy ko dhoor kerny k liye Hazrat Adam A.S ko btoor e naim ul badal aik baita ataa fermaya jis ka naam Hazrat Adam A.S ne Sheesh  yani " Allah ka ataa kerda tuhfa" rakha.


Muhammad Bin Ishaq R.A byan kerty hen ke


        jab Hazrat Adam A.S ki wfaat ka waqat qareeb aya to unhon ne apny Fermabrdar baity sheesh Alaihissalam ko huq (Dawat o tableeg ) ki waseyat fermai  or unhy din raat mein ki jany wali ibaadt ki taleem di.                                                                                     

                                ( Tareekh ibn e kaseer )


Hazrat Adam A.S ki wfaat k baad Hazrat Sheesh Alaihissalam apny walad ki waseeyat k mutabiq ammal kerty rahy or Allah rab ul izat ne unhy b nabowat se serfraz fermaya .Or in per apny pas se asmani saheefy b  nazil fermaye .


Hazoor Akram (S.A.W) Ne Fermaya :



       Allah tala'h ne apny anbiya per 100 sahefy or 4 asmani kutab nazil fermai jin mese 50 saheefy sirf Hazrat sheesh Alaihissalam per nazil fermaye.


                 ( Tafseer ibne o kaseer , Tafseer Al qurtabi –un abhi zer R.A )


Hazrat Sheesh A.S apny walad muhtrum ki waseeyat k mutabiq tableeg e deen k freezy ko Ahsan tareeqy se ser injam daity rahy. Jab unki mout ka waqat qareeb aya to unhon ne apny baity “ Anosh ” (Yanash)k haq me waeeyat fermai .

Anosh  ne apni wafat se pehly dawat tableegh ki ye zimadari apny baity “ qenan ” ko soonp dii .Phir “Qenan” ne apni wafat k qareeb aony baity “ muhla yel ” ko dawat o tableegh ka mansab sonpa. Ye pehly wo admi thy jinhon ne Shehar basaye ,Mzboot qily tyar kiye or shaitan k laskron ko paharon or ghatyon mein muntashir ker diya.


Also, check this Habeel And Qabeel Story


       Inki hakoomat 40 saal tak qaim rahi . Is ne apni wafat k waqat apny baity “ Deer " ko apna ja nasheen muqarrar ferma diya or “ Deer’’ ne apni wafat k chand din qabl deen k freezy ki waseyat apny baity “ Akhnokh” ( Hazrat Idrees  A.S ) k huq me ferma di .


We also Provide Prophet stories, Stories, Ahadees, Hazrat Ali (R.A) Quotes, Hazrat Umer (R.A) Quotes, and Islamic hero Quotes or Ideas, Islamic problems solution, Islamic Questions & Answers, Islamic Quiz, Islamic Wazaif, Islamic Bayan, and all Islamic related things So that you can understand the purpose of their life.


 Dear All, You can share my post with anyone .. but cutting lines or the writer's name is not allowed (It's Amanah on You)


جزاکم اللہ خیرا کثیرا 🎀

🖋️ bint e Arshad Mehmood




Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers