Habeel and Qabeel Story

Habeel and Qabeel Story in Urdu / Hindi

In this post, we will share habeel and qabeel complete story in roman English / roman Urdu. So that the people could understand very easily. Habeel and qabeel story we wrote with full of reference and Ayaat translated in Roman English / Urdu. If this habeel and qabeel story is very informative. If you like this story, you can share it with other people. We request you to read the complete habeel and qabeel story . We also share stories please check Prophet Stories  


Habeel and Qabeel Story in Quran which Surah

Hazrat Adam o Hawa Ki Olaad



Allah tala’h ne Adam o hawa A. S ko bohat sari olaad ataa fermai .

Fermany Ilaahi :-

1. “ A logho, Apny rub (k azaab )se dhro jis ne tumhe aik jaan se paida (Adam A.S) kiya or isi se iski bivi (hawa A.S) ko paida ker k in dono se dunya me bohat se merd or ortien phela di”

             (Al Nisa 4: ayat 1)

2. ‘’Or (yaad kero )jab ap k rub ne bani Adam ki pochto’n se inki olaad ko nikala or inhy khud per ghwah banaty howy pocha k kya me tumhara rub nahi hon ? Sub ne jawab diya:  ku nahi ,hum sab (iski)gwahi daity hen (k ap he hamary rub hen )-‘’

       (Al araaf 7:ayat 172)


Hadees Rasool Akram (S.A.W)


                                                ‘’Jab Allah tala’h ne Adam A.S ko paida fermaya to Allah tala’h ne unki pushat per hath phera  Ap A.S ki poshat se Apki tmam olaad zahir ho gai Allah tala’h ne her aik ki ankho’n ke dermyan noor ki chamak rakh di phir inhy Ap A.S ko dikhaya . Ap A.S ne pocha :

 A mery rub, ye kon hai ? Allah tala’h ne jawab diya : ye tumhari olaad hen –Ap S.A.W ko apni olaad mese aik shakhs aisa nazr aya jis ki peshani ki chamak apko bohat passand ai – Ap S.A.W  ne pocha : A mery rub, ye kon hai ? Allah Tala’h ne jawab diya : Ap ki olaad mese Akhri zmany ki qomo mese aik nabi hai jis ka naam daaod ho ga – Ap A.S ne pocha : A mery rub ap ne is ki umar kya muqarrar fermai hai ? Allah tala’h ne jawab diya : 60 saal – Ap ne Aarz ki : A ,mery rub isy meri umaar mese 40 sal anayt ferma dijye –Jab Adam A.S ki muqarra umar complete hoi to mout ka  frishta unki rooh qabz kerny aya – Ap A.S ne fermaya kya meri umar mese  40 saal baqi nhi hen ? Frishty ne aarz kiya ap ne wo 40 sal apny baity daaod ko diye thy . Chunky Ap A.S ne inkaar kiya is liye apki olaad me b inkar ki adat majood hai .

Hazrat Adam Bhol gay eis liye apki olaad b bhl jati hai .Ap A.S  se b ghalti hoi is liye unki olaad se b ghalti hoti hai” .

    (termzi –un abi huraira R.A )


We also recommend:


Habeel and Qabeel Story in Quran which Surah


 Ferman e Ilaahi hai :( terjuma )

      “ (A Nabi  S.A.W) Ap logo’n ko Adam A.S k 2 baio’n ka sacha waqya b suna dijye . Jab in dono ne Allah tala’h k liye qurbani paish ki , In mese aik ki qurbani to qabool ho gai laikin dosry ki qabool na hoi  to wo kehny laga k me tujhe qatal kr daalo’n  ga . 

Pehly ne kaha : Beshq Allah taqwa ikhtayar kerny walo’n ka he Ammal qabol kerta hai , Ager tu ne mujhe qatal kerny k liye apna hath agy berhaya to me hergiz tumhy qatal kerny k liye apna hath agy nhi berhaon ga.

                               Beshaq me to Allah se derta hon Jo tmam jhano ka rub hai . Me to chahta hon tu apny zimy apna or mera b gunah ly ly or phir to dozkhy’n me shamil ho jaye , Zalemo ka yahi badla hai . Akhir kaar usk ( bhurai ki terf dawat dainy waly) nafs ne usy qatal per amada ker diya or us ne apny bhai ko qatal ker diya .

Pus wo Nuqsan uthany walo’n mese ho gya. Phr Allah ne aik kwa (crow) baija jo zameen khodny lga taky usy dikhaye k wo apny bhai ki laash ko kis trha dafun kry .. (ye daikh k) wo kehny laga , Haye Afsos ,me is kwy (crow) jaisa b na ho saka k apny bhai ki laash ko chupany k liye tadbheer nikal laita . phr wo bra he pasmanda or sherminda howa” . 

                                          ( Al maida 5: Ayat 31 to 127 )


Hazrat Abdullah or dory shaba kram byan kerty hn k Jab hazrat Adam A.S or hawa A.S ki terf olada ka silsla shuro howa to unki terf  aik waqat me aik laerka or larki paida hoty thy . aik waqat me paida hony waly larky ka nikah dosry waqat me paida hony waly larky se kr diya jata .or dosry larky ka nikah phly wali larki se ker diya jata 

Hazrat Adam A.S ki terf aik dfa habeel or uski behn paida howy or dosri dfa qabeel or uski behn paida howy .Asool k mutabic qabeel ki behn ka nikah habeel ki behn se hona tha laikin itafaq se qabeel ki behn habeel ki behn se zyada khubsourat thi  . qabeel ne  apni he behn  se nikah kerny ka israr ker diya . Hazrat Addam A.S k mna kerny k bawjood b jab qabel baaz na aya to Adam A.S  ne kaha k tum dono Allah ki rah me qurbani paish kro jis ki qurbani paish ho gai uska nikah qabeel ki behn se ker diya jaye ga .

Habeel  bakerya’n charata tha us ne aik mooti tazi bakri Allah ki rah me paish kr di . Jubky qabeel khaiti bhari kerta tha is ne ghatya qisam ka anaaj Allah ki raah me paish kiya .

 Allah Tala’h ne habeel ki qurbani qabool kr li . Chunachy us ne gusy me aky apny bhai habeel ko qatal kr dala . Akhir kaar Allah tala’h ne 2 kaway (crow ) baijy . is mese aik ne dosry ko mara or aik kawy (crow ) ne apni choonch se ghra khooda or murda kwy ( crow ) ko us me dafan ker diya .

Qabeel ye sara majra dekh ker sherminda howa k me apny bhai ko dafan kerny k liye koi tadbeer b na nikal saka .

                                (tafseer ibny kaseer,tafseer almaida 5 :ayat 27 )


Hazoor Akram (S.A.W) Ne Fermaya :

               "Jitny b loge na haq qatal ho rhy hn .inka gunah Adam A.S k baity Qabeel k hisy me b likha jar ha hai . kuk insane me qatal ki reet sab se phly isi ne shuro ki thi ."

                                      (bukhari –un Abdullhah bin masood R.A) .


Hazrat Adam (A.S) Ki Wafat

 

    Jab Hazrat Adam A.S ki wfaat ka waqat qareeb aya to unhn ne apny baiton se kaha k mera jannat k phal khany ko jhee chah raha hai . Unk baity phal ki talash me nikal pery . Frishty khushbo , kafan ly ker aye unhn ne Ap A.S k baiton se pocha k tum kis cheez ki talash me ho to unhn ne kaha k hmara baap jannat ka phal khana chahta ha . Frishton ne kaha wapis lout chlo tumhry walad foot hony waly hen . Frshton ne a ker unki rooh qaabz ki , unko ghusal diya , Kafan pehnaya , khushbu lgai or lhad (qaber ) tyar ki . Phir nmaz e jinaza ada ki or qaber me rakh ker oper se maat daal di .phir mukhatib ho ker kaha : A Adam A.S k baito , tumhary liye murdo’n ko dafan kerny ka yahi tareeqa hai .

                                              (Masand Ahmad )

“Hazrat Adam A.S ko makkah Mukarma me jabal abe qabees per dafan kiya gya “

                        (tareekh ul tabree)

Hazrat Adam A.S ki umar 1000 saal thi “

                                            (Masan Ahmad –Un abe huraira R.A )


Dear All, You can share my post with anyone .. but cutting lines or the writer's name is not allowed (It's Amanah on You)


جزاکم اللہ خیرا کثیرا 🎀


✏️ bint e Arshad Mehmood 




Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers