Prophet Saleh Story | Hazrat Saleh (a.s) Story

Prophet Saleh Story | Hazrat Saleh (a.s) Story In Urdu


In this post, you will see Prophet Saleh Story | Hazrat Saleh (a.s) Story you can read or download in pdf form. We write this story in Roman English/Urdu so that the people could easily understand and they can learn. Prophet Saleh Story | Hazrat Saleh (a.s) Story is a very informative story we request to you please read completely if you visit this site. If you like this post then you can share it with other people. If you want to read other stories please visit our website completely and see the prophet stories category where all stories are mention. Please Also Read This Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story



Prophet Saleh Story  Hazrat Saleh (a.s) Story

Prophet Saleh Story  Hazrat Saleh (a.s) Story




We Also Recommended


Hazrat (Prophet) Idrees Story


Hazrat (Prophet) Sheesh Story


Habeel And Qabeel Story


 Hazrat Salah A.S qoom smood k nabi thy.Hazrat hud ki qoom e Aa'ad k tbaah ho jany k bad smood ki olaad Arb me pohnch gai thi. 

Ye loghe bohat taqt war or qad awar loghe thy.  Wo pather trashane me mahir thy. Pather trashty trashty wo butt trash ban baithy or un me butt prsti aam ho gai to Allah talah ne hazrat Salah A. S ko unki terf nabi bna ker baijha .(tafseer azeeze) 

Ap ki shaqal o surat sab se behter thi or nasb  b Aa'la tha. 


Arshad e Rubani hai (terjuma) :


  "qomm e smood ki terf hum ne ink bhai Salah A. S ko nabi bna ker baijha.unhon ne apni qoom se kaha-A meri qoom Allah ki bandgi kero is k sewa koi ma'abod nahi"

      (Surah Araaf)


Qoom mese bohat km or ghareeb loghe ap per eman laye jab k ameer loghe abi b butt prasti me mashgol thy. Wo Hazrat salah A. S ka mzak uraty or kehty:

   "Ager hum khuda k sahi deen per na hoty to aj hamy ye dhun, dholat, ser sbz o shadab baghat , Aa'alii shaan muhlaat or mewa jhat ki kasrat sab kuch ku hasil hota...... Ye sab cheezyn hmy is liye mili hn kuk hum sahi deen per hn .dosri terf ap khud daikyn...... Jo loghe apki perwi ker rhy hn unko daikhyn.unki tang halat or ghurbat ko daikhyn or btayn k khuda k maqbool bandy kon sy hen"


Hazrat Salah A. S ki qoom k ye loghe Ap nbowt ko jhutlaty he rehy laikin ider hazrat Salah A. S b braber inhy Allah ka begham sunaty rahy.

Akhir unho. Ne kaha.


   "Ager tum sachy ho to koi mujhza dikhao"


Is per hazrat Salah A. S ne kaha:


     "Me tumhari khwaish k mutabiq mujhza dikha daita hon..... Phr is k bad b tum emaan na laye to tum per Allah ka azaab aye ga"


Is per unhon ne kaha:


    "Hum her saal fla'n treekh ko shehr se bahir jary hen.Apny sath buto'n ko b achi poshaaq pehna ker ly jaty hen.phr inse apni hajty'n mangty hen

To b hmary chal..... Apny khuda se apni muraad mang...... Phr daikhyn gy.... Tumhara khuda tumhy kya daita hai... Or hmary khuda hamy kya den gy"


Hazrat SalahA. S ne unki baat maan li

Akhir wo din agya jab unhn ne bahir jana tha.

  Hazrat Salah A. S k sath thory se muslman jo in per emaan laye thy .jab wo Eid ghah me ponch gaye to unhon ne apny ko achi trha sjaya or apny samny takhton per bithya or bhary adab se apni hajhat mangny lgy.

Hazrat Salah A. S ne kaha agr mangna he h to kuch anokhi cheez mango. Hum b daikhyn... Apk butt kaisii qudrat rakhty hen. 

Wo loghe butto'n k samny ja ker bhri ajhzi se un se mangny lgy jab kuch n mili to tang aker baith gaye .


Hazrat Salah ne kaha: 


     " Ab tum kaho ....e kya ker k dikhaon....me apny khuda se dua keron ga or wo jo jaye ga...... Jo tum kaho gy. "

Unhon ne apny bhry ki trf daikha or kaha 

 "inse koi iasa mutalaba kerna chahye jo ye pora na ker sakyn".


Bhary ne socha or kaha:


   " ager ap sach me Allah k beghamber hn ro hmari chooti "kataba" mese aik aisi ontni nikal den jo 10 maheeny ki ghabn ho or pori trha taqat wer ho.phr wo hmary samny bacha jany or bacha b shakl sourar me bilkul isi jaisa ho "

Hazrat Salah A. S ne kaha agr me Allah k hukam se tumhara ye mutalba pora ker don to kya tum mujh per or meri dawat per emaan ly ao gy ?

Un sab ne iqraar kiya "han"


 Hazrat salah A. S ne 2 rakat nwafl ada kiya or Allah se youn dua ki:


  " A Allah tumhary liye to koi kaam mushkil nahi.inka mutalba pora ferma den "

Muslman  b pas he khry thy...... Apka un alfaz me dua kerna k achank pahari phti or us mese aisy chlany ki awaz ai..... Jaisi janwar bacha janny waqat nikalty hen....or unhon ne phari se bilkul aisi ontni niklty daikhi..... Or phari se niklty he ontni charny lagi.....kuch he deer bad uska bacha paida ho gya jo bilkul usii rung o roop ka tha."


Is waqe ka ziker kerty howy Allah talah ne fermaya:


    "Beshaq tumhary rub ki terf se ye wazya daleel achuki ye tumhary liye Allah k nam per chori hoi ontni hai,tumhary liye aik faisla kun nishani,bas usy khula chor do k Khuda ki zameen me jahn chahy chry,usy kisi qisam ka nuqsan na ponchao werna tumhy derd naak azaab apkry ga"

   (Surah Araa'f : ruku :10)


Is waqya ko daikhny k baad in sab ne kaha.... 

    "Beshaq salih ka mabood bhri he qudrat ka maliq hai .is per emaan lana chahye".

Is trha serdaar apny bohat sy sathy'n k sath slam ly aya. 

        Is ne hazrat Salih A. S se mafi mangii.. 

Bohat se loghe abi b apni ser kashi per qaim rahy.  Unhon ne Ap A. S ko jadhu gher qrar diya.... 


        Is per Hazrat Salih A. S ne un se kaha:


        "tum ne wada khlafi ki hai ab Allah k azaab se bachny ki aik he sourat hai or wo ye hai k tum is ontni or us k bachy ko tazeem se rakho.usy kisi qisam ki takleef na do is me tumhari he bhlai hai.... Jab tak yeah ontni or bacha tum me rahy'n gy shaid tum per Allah ka azab na ayae. .....is ko chor do taky ye khati peeti rahy or isy bhrai se hath na lgana.... 

  Ontni bohat qad awar thi.. Jahn b jati janwr usy daikh k baagh jaty thy. Pani per atii sab ka pani pii jati. 


  Logho'n ne hazrat Salih A. S se shikaiyt ki: 


      Yeah ontni to bohat pani pi jati hai....... Hmary loye to bachta he nahi. 

Is per Hazrat salah ne is masly ka hul btaty howy kaha.:

    "Aik din tum kinwy(well)  se pani liya kro or dosry din ontni pani piya kry gi...... 

Or jis din otni pani piye gi us din tum uska dhood nikal liya kro"

       Chunachy isi trha sab kuch kiya gya...... Laikin aisa sirf kuch din he chala... Kuk loghn ko ontnii se or shikaiyt thi k wo jahn ghas cherti sari khatm kr daiti dosry janwro'n k liye bachti he n thii..... 


  Is moqy per shaitan agy aya us ne kuch orto'n ko Uksaya ....unhon ne elaan kiya:


    " jo shakhs is ontni ka qatal kery ga..... Wo hum mese jis se chahe shadi kr sakta hai un orto'n k pas boht janwar thy is liye wo zyada preshan thyn.... 

Yeah elaan sun ker 2 awara gherd no jwan qadar bin salat or masda ontni ko qatal kerny k liye tyar ho gaye .....

    Is trha dono admi ontni k qatal ki tadbeery'n kerny lagy. Aik din ontni pani pii k aik tang sw ghali se jha rahi thi..... Usy aty daikh masda ne apni qaman me teer charhaya or us ki peeshani per maara... Sab ne shor mchaty howy us per hmla ker diya.... 

Ontnii taqat waar thi us ne kisi ko pas b nhi any diya laikin qadar ne us k peechy ja ker talwaar se waar kiya.... Ontni neechy gir gai ....sath he baqi loghe tlwar k waar kerny lagy.. Akhir ontni ko qatal ker diya gya jisy naqat Allah kha gya tha.... 

     Jab shehr walon ko ontni k qatal ki khabr mili to sab boht khush howy uska ghosht sab me taqseem kiya gya... 

Ontni ka bacha apni maa'ka qatal hota daikh ker baagh gya or usi pahari per chla gya jis se ontni paida hoii thi or gaib ho gya....

 

    Jab Hazrat Salih A. S ko is baat ka ilam howa to onhn ne kha :


    " Tum ne khud Allah k azab ko dawat di hai ab azaab aker rahy ga"


  Is per qoom ne ap A. S se kha:


  " is azaab ko hamry pas ly a jis ki to hmy dhamki dy raha hai"

    پ8ع(17))


Hazrat Salih A. S ne fermaya:

    "me tumhy any waly azaab ki 3 alamaty'n btata hon.ye Alamaty'n tumhar chehron per zahir hon gi .

 Pehli Alamat ye ho gi k jumarat k din tumhary chehry zerd ho jayn gy.... Ye der or khof ki alamat hai mousibt se phly aisi halat ho jati hai.... 

      Dosri alamt ye ho gi k jumma k din sab k chehry surkh ho jayn gy... Ye der ka dosra derjha hai....... 

      Tesri alamat ye ho gi k hafta k din sab k chehry sya ho jaeyn gy ye der or khoof ka tesra derjha hai... 


  Ap A. S ne ye b fermya:


                  "ye azab sab per aye ga ..... Is me merd, orat ,bachy, bhory sab shamil hon gy"

    Phr ap k btaye howy muqarra waqat per in per alamaat zahir hony lagi.jumma k din chahry surkh ho gaye to hafta k din ki alamt ne inhy larza diya......wo jaan gaye.....ab Allah k azab se bachna na momkin hai.

  

   Un alamat ko daikhy k bad unhy Allah se touba kerni chahye thi laikin wo aps me kehny lagy :


    " Hum Salih A. S or usk ahl o ayal ko zinda nhi choryn gy"


  Inki is sazish k baad Allah ne fermya:


   " unhon ne aik khufya sazish ki or hum ne b unk khilaf aik khofya tadbeer ki or unhy is taqbeer ki khabr na hoi"

 پ19ع(19))


Allah talah ki tadbeer k agy unki sazish bhla kya ho saktii thii...... Allah ne Hazrat Salih A. S ki hifazt fermai or frishton ka pehra lga diya..... 

    

Chunchy in per jab sari alamat zahir ho gai to in per azaab nazil howa jo aik kisam ka nhii tha balky kai qaisam ka tha.... 


    Smood ki qoom ne khud azaab ka mutalba kiya tha. ...wo tmam k tmam halak ho gaye..... Bs ik shakhs abor ghal bach gya....wo is waqat aman k shehr makkah moazma gya howa tha... Jab ye wahn se bahir nikla to ye b usi azaab se halak howa jis se baqi qoom halak hoi thi..... 


     Hazrat Salih A. S per eman lany walon ki tdaad 120 thi or halak hony waly takreebn  deer lakh ghrany thy.


     Qoom e smood ki bastyon k khandaar aj b majood hn.... 


Is se phly hazrat Muhammad S. A. W ne inki nashandahi fermai thi...


(Jizakillah hou khairan kaseera) 




People Also Searched



hazrat saleh story in urdu

story of prophet saleh

prophet hazrat saleh(a.s) story in urdu/hindi

story of prophet saleh in urdu

hazrat saleh ki qaum

hazrat saleh ki oontni

prophet,saleh as story in urdu

hazrat saleh a.s ka waqia

hazrat saleh alaihis salam

hazrat saleh grave

hazrat saleh ka waqia

prophet saleh a.s story


Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers