Hazrat Idrees Story | Prophet Idrees Story

In this post, we will share Hazrat Idrees Alaihissalam Story in roman English / roman Urdu. So that people could easily understand this story. Please complete read this story and follow their life. So that we can succeed in the life hereafter. If this Hazrat Idrees Alaihissalam Story is very helpful for you or if you learn something from this story then you can share this Hazrat Idrees Alaihissalam Story with your friends and relatives. Also, Read This Sheesh Alaihissalam Story


Hazrat Idrees Story , Hazrat Idrees Ka Mojza , Hazrat Idrees Ka Waqia

Hazrat Idrees Story , Hazrat Idrees Ka Mojza , Hazrat Idrees Ka Waqia 




Hazrat Idrees (A.S) Ka Nisab Nama


   Hazrat Idrees A.S ka asal naam Akhnokh tha . Ap A.S Babal shehr (city) me paida howy .Hazrat Idrees A.S ne naboowt ka baad jab ;loghon ko Allah tala’h ka ahkaam many or borayon se baaz rehny ke mutalq dilon ko naram kerny ka jhmia khutba diya to Ap A.S Idrees k naam se mashor (famous ) ho gaye . Quk Idrees ka mean hai “Perhany wala ,sekhany wala ‘’ yani Hazrat Idrees A.S ne apni qoom ko ahkamat khudawandi sekhaye .

                       Ibne ishaq rehmatullah Alae fermaty hen k sab se pehly likhny k liye qalam Hazrat Idrees A.S ne istimal kiya.  

                                       (Qasasul anbiya- labin kaseer )

Hazrat Idrees A.S Ka Quran Pak Main Zakhera


      Allah tala’h ne Hazrat Idress A.S ka Quran Majeed me 2 muqamat per naam ly ker tazkera fermaya hai . 


Ferman e Ilhai hai (terjuma ):

1. “Or Is kitaab me idrees ka b zikr kijye ,beshaq wo b bohat he sachy nabi thy or hm ne unhy buland muqam per pohncha diya tha.’’
       
 (Maryam 19: ayat 56 to 57 )


2. “ Or (A nabi S.A.W) ismael, Idrees or zwalkafal A.S ka zikr b kijye, ye sub bhry saber kerny waly loghe thy . or in sab ko hum ne apni rehmat me dakhil kiya, ye sab he naiq loghe thy ‘’.


               (Alanbiya 21: ayat 85 to 86 )


Hazrat Idrees (A.S) Ki Qoum Ko Dawat o Tableegh


         Hazrat Idrees ko Allah tala’h ne Hazrat Adam A.S or Hazrat Sheesh A.S k baad munsab nbowat per faiz fermaya . Allah tala’h ne Ap A.S ko bohat Oncha muqam ata fermaya or Ap ko muqarb tareen bandon me shamil fermaya . Ap A.S ne babal shehar (city ) me apni qoom ko Allah tala’h ki wahdniyat per imaan lany .paak o saaf rehny ,Allah tala’h ki  ibadat kerny ,mamlat me adal o insaf ko apnany ,Her maa (month ) 3 rozy rakhny , Zakat Ada kerny , nasha awar ishya se perhaiz or Allah tala’h k deen ki ser bulandi k liye jihad kerny ki taleem di laikin qoom k aksar loghon ne manny se inkaar ker diya.Hazrat Idrees ke samjany k baad jub wo naa many to Ap A.S hijrat ker k misar chly gaye . Wahn 72 qabely abbad thy. Allah tala’h ne Hazrat Idrees ko her qabely ki zuzuban sekha di . Her qabely ko usi ki zuban me tableegh fermaty thy.jis ki wajha se bohat se loghe daira islam me dakhil ho gaye . Hazrat Idrees A.S ko Allah Taka’h ne njoom or hikmat b sekha diye thy isi liye apka laqb “hermus alhamsa ‘’ b hai . “hermus’’ ilam njoom me maharat rakhny waly ko kehty hen . Hazrat Idrees apny zamany k bohat bhry abid thy. Ap A.S derzi (tailor ) ka kaam kerty thy . or soii k her tanky per “subhan Allah ‘’ “ Subhan Allah ‘’perha kerty thy. 


 (tafseer abn e kaseer –maryam 19:ayat 56 to 57 )

2. “Or Is kitaab me idrees ka b zikr kijye ,beshaq wo b bohat he sachy nabi thy or hm ne nhy buland muqam per pohncha diya tha.’’
       

 (Maryam 19:ayat 56 to 57 )


Hazrat Idrees (A.S) Ki Miraaj Ki Raat Hazoor (S.A.W) Se Mulaqat


          Rasool Akrum S.A.W miraaj ka safer kerty howy 4 asman per ponchy to Ap S.A.W ki mulaq hazrat Idrees A.S se hoii.  Unhon ne istaqbal kerty howy fermaya:
           
“ Naiq bhai or naiq nabii ko khush amdeed’’


(bukhari –un anas  R.A)


Dear All, You can share my post with anyone .. but cutting lines or the writer's name is not allowed (It's Amanah on You)
جزاکم اللہ خیرا کثیرا 🎀
🖋️ Bint e Arshad Mehmood



Please Share This Post With Your Friend👍


Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers