Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story

Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story


In this post, you will see Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story, and you can read or download it in pdf form. We write in roman English so that the roman read easily and understand. If you want to read in other languages please ask me in the comment section then we will upload it in other languages. Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story is a very interesting story we request to you please read complete we write it with full of books reference if you see some mistake please tell us about our mistakes then we solve it very soon.  Please also read this Hazrat Saleh Story.


Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story

Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story





We Also Recommended


Hazrat Idrees Complete Story


Hazrat Sheesh Aliahisalam


Habeel and Qabeel Story



Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story



Hazrat Nuh A.S ka nasab nama :

                                            Hazrat Adam A.S k baad mashor (famous ) Anbiya mese aik hazrat Nuh A.S hen . Inki waladat hazrat Adam A.S ki wafat k 126 saal baad hoi .Apko 1000 sal umer mili jis mese 950 sal ap apni qoom ko nasehat kerty rehy .


Hazrat Nuh A.S ka asal naam abdul ghafor tha laikin ap apni qoom or akhrat ki fiker me bohat roya kerty thy is liye quran me apko A.S ko nuh (bohat zyada roeny wala) k naam se yad kiya hai .Ap A.S mamoli naimto’n per b Allah ka shuker ada kerty thy is liye Allah tala’ah ne apko “abdaan” “Shakoran” k laqab se yad kiya .


Ferman e Ilahi hai (terjuma ):


                            “Beshaq wo( Nuh A.S) hmara shuker guzar banda tha”  

(bani Israel 17 :ayat 3)


Hazrat Nuh A.S ka ziker quran me :


                Hazrat Nuh A.S ka Allah tala’ah ne quran majeed me 43 maqamat per  zekar  fermaya or quran majeed me aik sourat Nuh (sourah nmbr :71) ka naam b ap A.S k naam per hai .


Hazrat  nuh A.S se pahly shaitan ki logo’n ko ghumrah kerny ki chaale’n :


                                              Allah Tala’ah ne olaad e Adam me bohat berkat ata fermai or olaad e Adam se bohat se bastiyan abaad ho gai .tmaam loge sabqa anbiya ki taleemat k mutabiq sirf Allah tala’ah ki ibadat kerty thy or isk sath kisi ko shareeq nhi thehraty thy .Olaad e Adam ka is terha ibadat kerna shaitan ko gira’n guzrta tha wo is soch me tha k kisi na kisi terha olaad e Adam ko ghumrahi me mubtla kerk Allah tala’ah ki rehmat se dour ker dy .Shaitan ko ye maaloom tha k shirk bohat bhra gunah hai jis per Allah tala’ah bohat naraz hoty hen .is ne Qoom e Nuh mese jo naiq loge fout ho chuky thy ink naam per logo’n me shirk raij kerna shuro ker diya . ap A.S k naam per hai .


Hazrat  nuh A.S se pahly shaitan ki logo’n ko ghumrah kerny ki chaale’n :



Ferman e Ilaahi hai (terjuma ):


                          “or unhon (qoom e nuh ) ne kaha (A logo ) tu apny (khud sakhta ) mabood ko her giz na choerna .Tum boto’n ko na chorna (nuh 71 :ayat 23 )


Ahadees Rosool Akrum S.A.W :


1. Hazrat Abdullah bin Abaas  R.A fermaty hen :


                            Qoom e Nuh me shirk ki ibtda is terha hoi k unki qoom me 5 afrad naiq thy . unki wafat k baad shaitan ne qoom k dilon me ye bat daali k wo un 5 logo’n k baithny ki jgho’n per mujhasmy bna ker rakhy’n taky unhe daikh ker sab me Allah ki ibadat ka shoq paida ho .chunachy qoom ne aisa he kiya or jab mujasmy bnnay walon ki b wafat ho gai to baad me any waly logo’n ne la ilmi me yahi samja k hmary baap dada inhe baoto’n ki pojha kiya kerty thy . chunachy unhon ne Allah ki ibadat ko chor ker un bhoto’n ki pojha shuro kr di . is terha shirk pal gya .

                                                                      (Bukhari)


2. “Hum ne habsa me ik  khubsourat girja gher daikha jis me (anbiya or naiq lohgo’n ki ) tasaeer majood thyn .Hum ne Ap S.A.W k samny is girja gher or tsaveer 


ka ziker kiya to unhon ne fermaya :


“In (yahood o nasara ) mese jab koi naiq admi fout ho jata to ye uski qaber per ibadat gha (ghirja gher ) tamer kerty or us me in (fout shuda logo’n ) ki tasaveer bna ker rakh laity thy . Qyamat k din ye (gumrah ) logh Allah k nazdeek sab se bad treen makhlooq hon gy”.


    (bukhari, muslim –Un ume habeeba wam salma R.A)


Hazrat Nuh A.S ki baaesat :


          Jab tmam Qoom shirk me mubtla ho gai to Allah tala’ah ne Uny serat e mustaqeem per lany k liye unhe mese aik banda (hazrat Nuh A.S ) ko nabi bna ker baija . Jab Ap A.S ko maboos kiya gya us waqat apki umar 50 sal thi .


Ferman e Ilaahi hai (terjuma ) :


                         Yaqenn hum ne Nuh A.S ko inki Qoom ki terf (nabi bna ker ) baija(or un se kaha ) k apni qoom ko draye, is se pehly k un pe sakht azab ajay.

                                                        (Nuh 71 :ayat 1)


Raool Akrum S.A.W ne fermaya :


                                                    “Loge mehshir k medaan me Nuh A.S k paas b jayn gy or kahyn gy , A Nuh ,ap zameen walon ki terf baijy gaye pehly Rasool hen ,Allah ne Apka naam “shuker guzar banda”rakha , Ap hmarai shfaat fermayn . Nuh A.S ye kehty howy mazar ker len gy k Allah tala’ah aj bohat gusy me hen is se pehly kbi itny gusy m nhi aye thy or na he is k baad ayn gy”. 


            (bukhari , Un Abe huraira R.A )


Hazrat Nuh A.S ki Apni Qoom ko dawat o tableegh :


Hazrat Nuh A.S ne Aapny nabi hony k baad sab se pehly logo’n ko tooheed ki dawat di or shirk se mna fermaya .


Ferman e  Ilahe hai (terjuma ):


1.           Nuh ne kaha : “A meri qoom ,beshaq me tumhe khulam khula drany wala hon ye k tum Allah ki ibadat kero ,isk azaab sr dero or meri itaat kero – wo tumhry gunah mouaf ferma dy ga or tumhe aik muqarra mudat tak muhlat dy ga . Bilshuba Allah ka wada (waqat e muqarr ) jab ajata hai to us me takheer nhi hoti , kash k um ye baat samjh laity”.

                                                                  (Nuh 71 :ayaat 2 to 4)


2.     Nuh A.S ne kha , A meri qoom , mujhe btao k ager me apny rub ki terf se wazya daleel per hun or us ne mujhe apny pas se waza daleel (nabowat ) ataa ki laikin wo tumhari neghahon me na ai to kya me tumhy isy many per majbor ker sakta hun jabky tum isy na pasand kerty ho”-

                                         (Hud 11 ayat 28)


Hazrat Nuh k khelaf unki qoom k shabbbhat :


Hazrat Nuh k khelaf unki qoom k shabbbhat km aqli or jahalt ka wazya sboot  thy. Huq huq he hota hai chahe iski peervi qoom k ameer loge kren ya ghreeb...

Insani tareekh se pta chalta hai k huq ki pervi kerny walon me ghreeb logo’n ne he pehal ki hai .Hazrat Nuh A.S ne qoom k intehai gusy k bawjood unhe samjany ki koshish ki or unk shabbhat ka azala kerty howy kaha k mujhe nabi hony ki wazya daleel di gai hai. Or mera ap jaisa aik insane hona nbowat milny  me rqawat nahi hai,or resalat per eman rakhny walon ka malii toor per ghareeb hona b mujhe nboowat milny  se mna nhi ker sakta .Nowat to Allah ki terf se rahmat hai us ne mujhe ata ki laikin tum ne iski qader nhi ki or bgair sochy samjhy iski mukhalfat ki


 1. Nuh (A.S) ne kaha: A qoom mujhe me ghumrahi nahi balky me tu tmam jahano k rub ka (baija howa) rasool hon.me tu tumhy apny perwardegar ka pegham ponchata hon ,tumhari khair khwahi kerta hon or Allah ki terf se wo batien janta hon jo tumhy maloom nhi .


      (Al- Araaf 7:ayat 61 to 62)


2. Nuh (A.S ne kaha suno) be shaq me tumhary liye amant dhar hun lhaza tum Allah se dero or meri itaat kero or me tum se is (tableegh) per koi sila (ujrat) nahi mangta .Pus tum Allah k azab s dero or meri fermabrdari kero.

   (Al-Sha’era 26: ayat 107 to 110)


 Hazrat Nuh A.S ko qoom ki terf se dhamki or azab ka mutalba:


Hazrat Nuh A.S ne qoom ki ser kasha k bawajood in ko dawt e huq daity rahy or qoom k ilzamat ka achy andaz se jwb daity rahy . Dawte huq daity howy AP A.S ko 950 sal guzr chuky thy. Jab aik nasl k loge marny k qareeb hoty to wo agli nasl ko waseeyat kr jaty k Nuh A.S per eman na lana .is terh unki tabiyat he aisi ban gait hi k jaisy huq or iman qabol kerny ki sourat he nag war nhi thi.Unhon ne Ap A.S ko dhamkiy’n daina shuro kr den. Or ye b k jis azab se ap hamy draty hn wo ly ao .


Ferman e Ilahi :- (terjuma)


1. Qoom e Nuh ne kaha : A nuh agr tum (is tableegh se ) baaz na aye to tu yaqenn tumhe singhar ker diya jaye ga”

           (Al-Sha’era  26:ayat 116)


 Hazrat Nuh A.S ki Allah se derkhwast :


                      Hazrat Nuh A.S k din raat ki koshish k bawjood b  qoom ne ser kasha ki or azab ka mutalba kiya kr diya ur Allah tala’ah ne b wahi k zerye apko ye bat bta di thi k jin ki qismat me eman thaw o la chuky mazeed eman nhi layn gy .Ap A.S ne Apni qoom k ser kash or qafir loghon k muqably me Allah se mdad ki derkhwast ki .


 Fermaan e Ilahi :- (terjuma)


1. Nuh A.S ne dua ki : A mery rub meri qoom ne mujhe jhutla diya hai . Ab mery or is qoom k dermyan faisla ferma dijye .or mujhe or mery momin sathyn ko is se nijaat ata ferma dijye”.

    (Al –sha’eraa 26 :ayat 117 to 118)


2. Or bilashuba Nuh (A.S) ne hmay pukara .(daikh lo) hum ktny achy dua qabool kerny waly hn.or hum ne inko or ink ghar walon ko (kerb azeem) se bcha liya”.

                (ASafaat  37 :ayat 75 to 76)


 Hazrat Nuh A.S ki derkhwast ki qaboliyat or kashti tyar kerny ka hukam:


          Hazrat Nuh A.S ne jab Allah se mdad ki derkhwast ki to Allah ne unhy kashti bnnany ka hukam diya .


Ferman e Ilahi :- (terjuma)


1. “(Hum ne Nuh A.S ki dua qabool fermai) or is (Nuh A.S) ki qoom k khelaf madad ki jinho’n ne hmari ayta ko jhutlaya tha. Yaqeenn wo bohat bhory loge thy”.

        (Al- Anbiya 21 :ayat 77)


2. Nuh A.S ki terf wahi baiji gai k apki qoom mese jo koi eman la chuky hn ink sewa ab koi eman nahi laye ga .Pus ap is per ghum na kijye jo ye ker rahy hen. Ap hmari ankho’n k samny or hmary hukam k mutabiq kashti tyar kren or zalmo’n k bhary me hum se koi bat na kerna”.


Hazrat Nuh A.S k kashti tyar kerny per qoom ka mazak :


     Hazrat nuh A.S ne Allah k hukam se kashti aisi jgha ja ker bnnana shuro ki jahn door door tak kashti chlany k liye paani majood nahi tha. Tojab kafir loge apk pas se guzrty to wo apka mazak uraty .is qoom k tsawur me b nahi tha k Allah inhy pani me gharq kerny wala hai. Ap A.s jawab daity aj tum hmara mazak ura rahy ho aik din isi trha tumhara b mazak araya jaye ga or tumhe bohat jald maloom ho jaye ga k Allah k ghazb ka shikaar kon hot hai ?


  Ferman e Ilahi:- (terjuma)


1. “wo (Nuh A.S ) kashti bnnany lagy or jab inki qoom k serdaar ink pas se guzrty to inka mazak uraty . wo (Nuh A.S ) kehty: ager tum hamara mazak ura rahy ho to aik dim hum b tmhara isi trha mazak urayn gy,jis trha tum ura rahy ho. Tumhe jald maloom ho jaye ga k kis per wo azaab ata hai jo usy ( dunya me ) ruswa ker dy ga or is per (akhrat me b) hmesha ka azaab nazil ho ga”.

     (Hud 11 : ayat 38 to 39)


Tofan ki ammad ,momin bando or janwro’n ko kashti me swar kerny ka hukam:


        Hazrat nuh A.S k kashti bna  lainy k baad Allah tala’ah ne unhy hukam diya k wo kashti me swaar ho jayn or apny sath mamoin bando or tmam hewanat ka aik aik jhora b sath ly len.laikin qafaar ko apny sath swaar nhi kerye ga .Hazrat Nuh A.S ne tmam momim merdo’n or orto’n ko kshti  me swaar ker liya jin ki tdaad 80 thi ,un me apk baity saam ,ham ,haafs or unki bewiy’n b shamil thyn.or tmam hewanat ka aik aik jhora b swaar ke liya.phr Allah tala’ah ne aik zebrdast  tufaan baija .zameen se b barish bersny lagi . chand he lamhat me pani itna zyada ho gya k kashti us me terny lagi.


Ferman e Ilahi: (terjuma)


         “Yahn tak k jab tnoor(se pani)ublny laga.tu hum ne kaha :A nuh is kashti me her qisam k janwor ka aik  aik jhora swaar ker lo,aony ghar k logho’n(momino) ko b,seway in kfaar k jin k bhary me qafar k jin k bhary me gharq hony ka hukm achuka hai ,or tmam eman walo’n ko b swaar kr lo.Is (Nuh A.S ) per bohat km he loghe emaan laye thy”.

   (Hud 11: ayat 40)


Qafaar ki halakt  or kashti ka bahifazt chlna:


     Jab qoom e nuh per sakht azab aya to her trf pani he pani ho gya. Tmam qafar halak ho gaye . laikin nuh A.S ki kashti sahi chal rhi thi kuk unk sath Allah tha.


Ferman e ilahi : (terjuma )


1. “Beshaq jab pani (k tufan ) me thugyani agai tu hum ne tumhe (Nuh A.S ) ko kashti me swaar ker liya.taky is waqya ko  tumhary liye naseehat bna den . or  yad rakhny waly kaan usy yaad rakhy’n”  


2. Wo (kashti) inhy paharoo’n jaisi majo’n tak ly ker chal rahi thi.


Hazrat Nuh A.S ka mushrik baity se mukalma:


Ferman e Ilaahi : (Terjuma)


Or Nuh A.S ne apny baity  (“yam” jis ka laqab kanaan tha) ko pukara, jo (un se dour kuch fasly per) alag thalg tha . A mery baity ,hmary sath swaar ho jao in qafaar k sath na reh jao .is (Nuh A.S k baity) ne jwab diya k me kisi bhry pahar ki terf pnaa’h ly lon ga jo mujhe (dhobny se ) bacha ly ga .Nuh A.S ne (smajty howy )kaha :

Aj Allah k azaab se koi bachany wala nahi ,sirf wahi bachy’n gy jin per Allah ka rehum ho .isi waqat un dono k dermyan mooj hail ho gai or wo dhobny walon mese ho gya”

(Hud 11: ayat 42 to 43)


Hazrat Nuh A.S ne jab apny samny baity ko dhobty daikha to Allah se usy bachany ki derkhast ki jis per Allah ne narazgi ka izhaar  fermaya . is liye k Allah k nazdeek shirk bohat bhara hunah hai”


Hazrat Nuh A.S k door me any waly tofaan k baad sewaye kashti me swaar howy afraad k sab halak ho gaye .in se agy phr nasl e insane k asilsila chla isi liye Nuh A.S ko adam e sani (dosra adam ) kaha jata hai 


Ferman e Ilhai : (terjuma)


“ Or hum ne inhi (Nuh )ki nasal ko baqi rakhi”

            (As-saafaat 37: ayat 77)


Hazoor Akrum S.A.W ne dermaya :


   “jab nuh ki mout ka waqat qareeb aya to unho’n ne apny baity se waseeyat fermai or kaha me tumhy 2 kamo ka hukam daita hun or 2 kamo se rokta hon.

(wo cheezy’n jin ka hukam daita hun)


1. Lailaaha Illallaahu( ko ikhtayr kerna kuk qayamt k din trazo k ak palry me 7 zameeny or 7 asman rakh diye jayn gy or dosry palry me Lailaaha Illallaahu ko rakh diya jaye tu in qalmat wala palra jhuk jaye ga”

2. Subhann Allah hee wabehamdehee kasrat se perty rehana kuk isi ki barkat se Allah tala’ah makhlooq ko rizq ata fermaty hen


(Wo cheezyn jin se mna fermya )

1. Me tumhe Allah ka shreeq thahrany se mna kerta hun.

2. Tumhy taqabur kerny se rokta hun.




People Searches



story of prophet nuh

stories of the prophets

story of prophet

prophet noah story

story of prophet nuh in urdu

story of prophet nuh (noah)

prophet noah story in urdu

prophets,hazrat nooh ki kashti ki kahani story hindi urdu

story,prophet stories for kids

prophet stories islam

quran story

hazrat nooh ki kashti

prophet noah

story of prophet nuh (nooh)(a.s)




Please Share This Prophet Nuh Story | Hazrat Nooh Story With Others👍

Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers