Story Of Prophet Ibrahim | Hazrat Ibrahim Story
Story Of Prophet Ibrahim | Hazrat Ibrahim Story
In this post, we will share with you the Story Of Prophet Ibrahim | Hazrat Ibrahim Story Wrote this story in Roman English so that all people could easily learn and understand and got references of hadiths or verses. Story Of Prophet Ibrahim | Hazrat Ibrahim Story is a very informative story so that we request you to please read completely and share it with other people. Also Read This Prophet, Saleh Story.
![]() |
Story Of Prophet Ibrahim Hazrat Ibrahim Story |
Story Of Prophet Ibrahim | Hazrat Ibrahim Story
Hazrat Ibrahim A. S Esa A. S se 2 hzar sal phly paida
howy. Apk walad ka naam A'azar or walda
ka nam ambla tha.apki wladat A'araq k shehr Udr me hoi thi.
Apki walaadt se phly loghon ne waqat k badsha namrood se
kaha tha..
"Aisa lagta
hai k apki hqomat k tbah o berbad hony ka waqat agya hai. Apki trf se is waqat
jo mazhab jhari hai. Or jin bhoto'n ki hum pojha kerty hn ,ye sab khatm ho jaye
ga or iski jgha dosra deen ajaye ga".
Namrood ye sun ker preshan howa or njhomy'n se kehny lga k:
"tum kaisy janty ho k hmara deen or haqomat khtam ho jayn gy"?
Njomy'n ne jwab diya:
" isi sal is
shehr me Ibrahim naami larka paida ho ga or ye sara nzam pash pash ho jaye
ga"
Najomyon ki ye bat sun ker namrood ne sary mulaq me ilaan
kerwa diya.
" is sal koi b bacha paida ho to usy qatal ker diya
jaye"
Ye ilaan sun ker
apki walda bohat preshan hoii kuk us waqat unki trf b bacha paida hony wala
tha....
Unho ne ye bat apny shohar ko btai or unhn ne aik ghaar
talash ki....
Hazrat Ibrahim A. S ki waldaat usi ghaar me hoi apki
waldaa apko us ghaar me chor ker chlii jatii thyn or dhoud pilany k liye ajati
thy...
Is trha usi ghaaar me 5 sal tak apki perwrish hoti rhi
.....
Phr aista aista ap A. S ne ghaar se bahir ana shuro kiya or
apk waalad ne apko nai nai cheezyn k bhary me btaya....
Aik din Hazrat Ibrahim A. S ne apni Amma se pocha..
Amma! Mera rub ( palny wala kon hai) ?
Amma ne jwab diya:
"me kuk
teri perwrish me ker rhi hon"
Hazrat Ibraheem ne phr pocha :
" Maa'n apka
rub kon hai"
Unhon me jwab diya:
" Tumhara baap
Aazar"
Is per Ap A. S ne phr pocha:
"A ammi !
mery baap ka rub kon hai"
Unhn ne jwab diya:
" Nmrood tery baap ka
rub hai"
Ap A. S ne pocha namrood ka rub kon hai?
Maa apny choty se
bachy ki batien sun ker heran reh gai.ap k swalaat se tang aker unhn ne ap A. S
k moo per tmacha mara or bhola:
"khabrdar! Ainda aisa batien
apni zuban per na laana,........tujhe kya maloom, namrood to sary A'araq ka
badsha hai
Prophet Ibrahim ne apnii maa se kaha k apki aisi batien meri aqal
me to nahi ati akhir ye dunya ka nzaam kon chla raha hai.. Apki walda k pas koi
jwab na tha....
Hazrat ibrahim A. S kuch bhry howy to unhn ne apni smeet
dosry loghon ko b bhoton or sitaron ki pojha kerty daikha.......
Allah talah ki trf se apko chonky nbowat milny wali thi is
liye Allah ne ap per month zmeen o asman ki takhleeq k sary raz zahir ker diye
thy.. Kuk ye pakeeza khyalat Allah he ki trf se thy.....
Prophet Ibrahim A. S per 10 saheefy nazil howy thy
Is trha ap per shirk ki haqeeqt waziya ho gai ..chunachy
quran qareem me apk ye alfaz aty hn....
"Me ne sab se yaksu ho ker apna rukh isi ki trf ker
liya.jis ne asmano or zameen ko banay or me mushrko'n mese nhi "
پ 7 ع (15))
Ab ap ne tableegh ka aghaz apny walad se kiya .sab se phly
ap ne fermaya :
" A mery abba
jaan! Ap aisi cheez ki ibadat ku kerty
hen jo na sunti hai na daikhti hai or na apk kuch kaam asakati hai"
Ap ne apny walad se ye b fermaya:
"A mery abba jaan!
Mujhe wo ilam atta howa hai jo apko nhi mila... So, meri perwi kren me apko seedhi rah dekhao'n
ga"
Ap ne ye b fermya:
"A mery
walad! Ap shaitan ki ibadat na kren..kuk
Shaitan to Rahman ka naferman ha"
پ 16 ع (6))
Is k baad ap ne apny walad ko Allah k azaab se darty howy
kaha:
"A mery abba
jaan! Me is baat se derta hon k kahi
aisa na ho k Rahmaan ka azaab na apko A pakry"
Is trha apne apny walad ko tableegh kery ka haq adda ker
diya.. Is per apk walad Aazar ne kaha:
" A
ibrahim! Kya to mery maaboodo'n se
phira howa hai...... Ager to is herkat se baaz na aya to me yaqeenan tujhe
singhaar ker don ga or tu aik mudat draaz tak k liye mery samny se chla
ja"
Ap ne apny walad ki
bat bhry sabet or brdasht se suni or fermaya:
"Achaa! Ap per salam ho, isk bawjod b me apny rub se apk liye
bakhshish (yani hidayat) talab keron ga.be shaq wo mujh per bhra mehrban
hai"
Ye salam apk rukhsat
hony ka salam tha..
Walad ki trf se nikal ker ap apni qoom ki trf se aye or
fermya:
"ye mortya'n
kya hen jin ki ibadat per tum jhamy baity ho"
Unhon ne jwab diya:
" hum ne apny
bhro'n ko inhi morty'n ki pojha kerty paya hai"
Is per ap ne fermaya:
" tum b sareeh
ghalti per ho or tmhary bhary b sareeh ghalti per thy"
پ 17 ع (6))
Qoom ne Ibraheem ki batien sunni to be chain ho gaye or
kahny lagy:
" kya tum sachi bat hmary samny ker rahy ho ya hum se
dil laghi ker rahy ho"
Ap ne unk is fazool swal ka jwab yoo diya:
" Dil lagi ki bat nhi, balky hmara rub wo hai jo tmam
asmano or zamen ka rub hai.jis ne in sab ko paida kiya or is bat per pori
baseerat se shahadat daita hon"
Ap ne qasam kha ker fermya:
" Or qasam
Allah ki jab tum peeth pheeer ker jha chuky ho gy to me tumhary bhoto'n ka
ilaajh keron ga"
پ 17 ع (6))
Hazrat Ibraheem A. S ne apny walid or qoom ko butt prasti se rokny k liye pora zoor lga diya jab un per koi asar na howa to unhn ne socha k mujhe apni tableegh ka treqa badlna pry ga.
Jab ratt ho gai tareeqi cha gai to hazrat ibraheem A. S
apni qoom k pas or asman per aik sitara dekha to ap ne fermya:
" ye mera rub
hai"
Jald he sitara dhob gya to ap ne fermya:
" me ghroob
hony walon ko dost nhi rakhta"
Phr chand dekha to
ap ne femya :
" ye mera
rub hai"
Laikin jab wo b dhob
gya to ap ne fermya :
"ager mery rub
ne rah na dekhai hoti to me b zroor isi grooh me hota or rah e rast se batak
jata. "
Phr subha hoi....
Surajh nikla to ap ne fermya :
" mera rub
to ye hai..... Ye sab se bhra hai."
Laikin jab shaam ko
wo b dhoob gya to ap ne fermya:
" A meri
qoom... Tum jin cheezon ko Allah ka
sharreq thahraty ho me un se bezaar hon.Me ne her trf se moo moor ker sirf us
hasti ki trf rukh kr liya hai jo zameen o asman ko banany wala hai or jis k
hukam se tmam zameen o asman ki makhlooq chal rhi hai... Or me in se nhi jo usk
sath shareeq thahrany waly hen.
Aik dfa Hazrat Ibraheem A. S ne Allah se A'rz ki:
"A mery perwrdegaar!
Mujhe dekha k to kaisy zinda kerta hai. "
Allah ne fermya :
"Kya tujhy yaqeen nahi k me murdo'n ko zinda kerta
hon"
Ap ne A'rz ki yaqeen to hai laikin me chahta hon dil ki
taskeen ho jaye..
Ab Allah talah ne fermya:
" 4 prindy
pakr ly, inhy apny hath se paal taky wo
tujh se manoos ho jayn.. Tu unk tukry ker daal........ Phr un tukro'n ko mla
jhla ker 4 pahary'n per rakh do. Or inko bola ,wo terii trf dorty howy ayn gy.
Pus jaan ly Allah ghalib hikmat wala hai"
(پ3 رکوع 35)
Is zmany me qoom ka
her saal mela lagta tha.. Sab mely me shirkat k liye jany lagy to sab ne Ap A.
S ko b chalny ko bhola... Laikin ap ne bhola
k merii tbiyat kuch na saaz hai me nhi chlo'n ga. p ne kuch jhoot b nhi
bola tha kuk ap un logo'n sw unki butt prasti ki waja se kraahty thy
Is trha Ap ko moka
mil gya. Un logho'n k jhaty he Ap A. S un k butt khany me ghus gaye or un se
kehny lagy:
" tum ku nhi
khaty tum ku nhi jheety"
"phr Jha ghusy un me or daae'ny (right) hath se unhy zerby'n lgai'n"
پ 23 ع (7))
"is trha inhy tokry tokry ker dala laikin bhry butt ko
nhi tora....... Usy isi trha rahny diya taky wo loghe aky uski trf matwjha
hon".
پ 17 ع (5))
Phr jab qoom k loghe wapis aye to bholy.
" ye na shaista herkat or ye ghustakhi hmary devi
daviy'n k sath kis ne ki"
Kuch loghn ne
Hazrat Ibraheem A. S ko ye kehty suna tha k me tumhary butt'n ka ilaajh keron
Ga.ye khyal aty he kehny lagy:
"Hum ne ibraheem
ko butto'n ko bora kehty suna......ye kaam zroor usi ka hai"
Phr kuch loghon ne kaha:
" Ibraheem ko
yahn bula lao"
Kuch loghe ibraheem A. S ko ly ker aye to un se pochny
lagy:
"A ibraheem ! hmary butt'n ki toor phoor tum ne
ki"
Hazrat Ibraheem ne jwab diya:
"Ye herkat in k bhary ne ki...... Ager ye bhol sakty
hn to khud in bhutt'on se he poch lo"
پ 17 ع (5))
Hazrat ibraheem ka to ye matlb tha k tum loghe mujh se ku
pochty ho is bhutt se he poch lo jo salam khra hai or kulhara b usi k hath me
hai...
Jis se bhutt'n ko tora gya.. Zahir hai kam b usi ka he hai.
Or ye kehny se apka
maqsad butto'n ki be kasii ko sabit kerna tha. Mushrko'n ne apki bt sun ker
jwab diya:
"A ibraheem tu to janta he hai k bhutt bhola nahi
kerty".
پ17 ع(5))
Pher wo sherma ker ser jhuka ker baith gaye.....Hazrat
Ibrahim A. S to un per ye bat wazya kerna chahty thy k bhutt jinhy wo apna
mabood khyal kerty hn na to bholty hn or na he sun sakty hn ,na koi nfa daity
hn or na he nuksan...... Kya tum itni se bat b nhi samjhty..
Is qader wazya bat b wo samjh na paye.... Or bhutt persti
se baaz any ki bjhaye unhy ne hazrat Ibrahim ko olta nuqsan pohnchany ka soch
liya..
Us waqat k badsha
ko is bat ki khbar hoi to us ne hazrat Ibrahim ko apny samny paish kerny Ka
hukam dy diya.
Spahii hazrat Ibrahim A. S ko ly ker derbaar me hazir howy
sab ne nmrood ko sjhda kiya laikin ap sedy khary rahy .Namrod gusy me agya us
ne kaha :
"tum ne mujhe sajhda ku nahi kiya"
Hazrat Ibraheem A. S ne kaha me sirf apny perwaerdigaar ko
sajhda kerta hon...
Namrood ne kaha tera perwerdigar kon hai!???
Is per Ap A. S ne fermya:
"mera rub to wo hai jo surajh ko mashriq se nikalta
hai tum usy magrib se nikal ker dikha do"
Namrod ye sun ker dhak reh gya....
Us se koi jwab na bn
pra..
Namrood k bhary me boht se morkho'n ne likha hai k wo
aik. Magror badsha tha jo khudai ka dawa
kerta tha...
Namrood ne aik dfa
asman ki trf teer phainka or bhola:
"Ager asman me koi khuda hai to me usy halaq kerta
hun"
Na aoz billah. ..
Allah ki shaan k wo teer oper se khoon alooda ho ker gira..
Wo khushi se pagal ho gya or kehny lga..
"Daikha mene asman k khuda ko aik he teer se halaq ker
diya "
Us ne hukam diya k ibrahim ko jhla ker apny bhutto'n ka
badla ly lo...
Chunachy Lakryo'n ko aik maheeny tak akhta kiya gya... Phr
aagh dehkai gaii or wo aagh is qader buland thi k prinda b oper se guzrta to
jhal ker mar jata...
Ab ye masla paida ho gya k Hazrat Ibrahim A. S ko aagh me
kaisy phainka jaye kuk aagh bohat teez thii koi us k pass b nhi jha sakta
tha....
Phr shaitan ne unhy mashwra diya:
" k isy manjaneeq me rakh ker jhla do"
Manjaneeq pather phankny ki aik machine hoti hai.......
Lahaza apko manjaneeq me rakh ker Aagh me ghira diya jany
lga to
Frishty bhool uthy :
"Ya Rub! Apk
khaleel k sath kya ho rha hai"
Allah ne frishto'n ko apki madad ki ijhazat dy di.
Hazrat jibraeel A. S ne A'arz ki apko merii madad ki
zroorat to nahi to ap A. S ne fermya:
Mujhe apki madad ki zroorat nahi jis zaat k liye mery sath
ye mamla kiya jha raha hai wo aleem ul khabeer hai .wo mujhe daikh raha hai wo
jo kuch mery liye tajweez fermaye ga me is per raazi hon ga"
Chunachy apko Aagh me ghiraya gya to Allah ne fermya :
"A aagh! Thandi
ho jha..... Or ibraheem k huq me slamti wali ho jha"
Kuch rwayat me ata hai k ap 7 din us aagh me rahy or
fermaty hn:
"mujhe zindgi me aisi rahat nahi mili jitni in 7 dino
me mili.. "
Read This Prophet, Saleh Story.
Hazrat Ibraheem A. S apny walid ko bohat pehly he chor chuky thy.. Laikin isk bawjood wo unk liye dua kiya kerty thy....
Allah tala'h ne Ibraheem A. S ko wahi k zerye hukam diya k mushrik o qafir or ghumrahi ikhtyar kerny walon k liye dua na kren.....
Itni tkaleef k baad b Hazrat Ibraheem ne islam ki tableegh jhari rakhi Laikin logho'n ne apki zindgi ko mushkil bna diya tha... Ap A. S hijrat ker k falteen agaye
Rwayat or tareekh k mutabiq hazrat loo't b ap he k Zmana k thy
Wo b hazrat Ibrahim A. S k sath hijrat kr k falsteen rwana howy.... Hazrat ibrahim A. S ne falsteen me b tableegh jhari rakhi laikin wahn kuch arsa qyam k baad misar chly gaye..... Misar me us waqat firaon ki hkomat thi.... Wahn jo b badsha hkomat kerta usy firaon kha jhata tha.
Hazrat ibrahim A. S ki bivi saa'ra ka taluq mdani qoom se tha. Wo bohat naiq khatoon thyn...
Hazrat ibrahim ki shah e misar se rishta dari thii... To badsha ne apko mahal me bula liya.. Hazrat ibrahim safer ker k thak chuky thy is liye badsha se zyda bt nhii ki thii.....!!
Badsha ne Ap A. S k ikhlaq se mutaser ho ker apni baiti hajhra ka nikah Ap A. S se kerwa diya....
Hazrat hajhra or sara itfeeq se rehny lagii
Hazrat ibrahim k pas koii olad nhi thii is waja se wo aksar preshan rehty ,or dua manga kerty thy.
Allah tala'h ne apko bibi hajhra se aik baita ata kiya jis ka nam ismaeel rakha .
Hazrat sara is per rashaq kerny lagy'n unhy bohat dukh howa or boht mayoos hoi..
Unhon ne hazrat ibrahim se kha k wo hazrat hajhra or unk bachy ko unki ankhon se door ly jayn... Hazrat ibrahim Allah k hukam se bibi hajhra or apny bachy ko aik chatyal medaan me chor aye...... Or unhy pani ka mashkeza or khjoor ki thaili dy aye jab hazrat hajhra ne apse unhy wahn chor ker jhany ki wajha pochii to Ap A. S ne fermya yahi Allah ka hukam hai.... Bibi hajhra ye sun ker bholi k :
Allah meri hifazat kry ga or mujhe zinda rehny k liyae sman fraham kry ga
Kuch din guzry to sara saman khatm ho gya kamzori k bais bibi hajhra k seeny se dood ana b ruk gya..
Hazrat ismaeel A. S bookh k mary roe rhy thy.. Hazrat hajhra dorti hoi aik buland muqam per char gai jis ka naam "sfa" tha. Door door tk koii pani ka zerya nazr na aya ...
Phr wahn se utar ker aik or pahari per char gai thy'n jis ka "merwa" tha...
Jab ap wapis ay'n to bachy ki airii k pas Allah ki rehmat se aik chashma phoot raha tha Ap ne Allah ka shukr ada kiya...
Pani bohat thanda tha or zaiqa b khush ghuwar tha Ap ne behty howy panii sr kaha "Zam Zam" yanii ruk jha.
Aik dfa banu jrahm ka qafila wahn aya jab Abe zam zam daikha to wahi praao dala or rehaish ikhtyar ker li ....
Jhu jhu din ghuszrty gaye Hazrat Ismaeel A. S b bhary ho gaye, qabeela banu jrahm k any k baad abaadi kuch bhr gai or ik basti ban gaii.... Hazrat ibrahim A. S kuch a'rsy k baad wahn aye.. Or daikha k wahn kuch loghe nazr arhy hn.... Hazrat Ibrahim A. S ne is trha wahn ana shuro kr diya .
Hazrat sara ne b bhibi hajhra ki khabr laina shuro kr di.....
Jaisa k hazrat hajhra k pas koii olaad nahi thi jis ki waja se wo aksar ghamgheen raha kerti thyn... Pehli bivi k olaad na hony ki wajha se ap A. S b ghamgheen raha kerty thy....Ap A. S be had mehman nwaz thy Agr apki trf koi mehman ajhta to us waqat tk khana nhi khaty thy jab tk mehman ko nhi khila dauty thy... Mamool k mutabiq ap khany k liye mehman ka intzar kr rhy thy. Mehman a gaye Ap A. S ne mehmano ko khush dili se istaqbaal kiya .Ap A. S ne mehmano k samny khana rakaha to unho'n ne khany ka hath na lgya.
Ap A. S k zmany me rewayat thi k mehman k khana na khany ka matlb ilan e jhang samjha jata tha is liye Ap A. S ko fiker lahaq hony lagii...... Ap A. S ko fiker mend daikh ker mehmano ne kha hum frishty hen . Qoom e loot ko unk ghunah'n ki sza dainy aye hn or apk liye b khush khabrii ly ker aye hn .Ye sun ker hazrat Ibrahim A. S muskuraye or pocha ye kasii khush khabri hai?
Frishto'n ne kaha k sara k batan se olad hony wali hai. Hazrat ibrahim A. S ye sun ker heran howy or socha k merii umar 100 bers or sara ki umar 80 bers k qareeb ho chuki hai to is umar me olaad kaisy ho saktii... Hazrat sara b frishto'n ki ye bat sun kr muskurai'n .....frishto'n ne jwab diya k Allah k hn sab kuch momkin hai.Frishton ne hazrat ishaq k paida hony ki bashrat di balky ye b btay k ishaq ka b baita ho ga uska nam yaqoob ho ga. Allah tala'h ne hazrat sara ko olaad ki naimat se nwaza Ab hazrat Ibrahim A. S hazrat hajhra k pas rehny lagy, Allah ne ibraheem A. S ko aik or azmaish me dal diya.
Hazrat Ibrahim A. S ne aik raat khwab me daikha k wo apny pyary baity hazrat ibrahim A. S ko qurban ker rhy hn. 3 ratien aisy aisy he khwab nazr aye. Anbiya k khwab sirf khwab nhi hoty balky wahi ka hisa hoty hn. Ap A. S samjh gaye k hazrat ismaeel A. S ko qurban kerny ka mutalba kiya jha rha hai.Ap A. S ne apna ser jhukaya or apny baity se kaha:
"A mery baity! Mene khwab me tujhe zibah kerty howy daikah hai.ye is baat ka ishara hai k Allah tmhari qurbani chahta hai , tumhra is bhary me kya khyal hai?"
Ap A. S ne bila jijk kaha k " ager Allah ka yahi hukam hai tu me Allah ki rah me apni jaan ka nzrana dainy k liye tyar hon , ap mujhe yaqeen saber kerny walon me pa'yn gy".
Jab zaeef baap apny armano or duaon se mangy howy baity ko Allah ki raza k liye qurban kerny ko tyar ho gya to baita ibraheem ka tha, is ne foran maan liya or apni gherdn churi k nechy rakh di, rehmat e ilahi ne jhish mara or awaaz ai:
"A ibrahim tu ne apna khwab sach ker dikhaya , hum naiqi kerny walo'n ko aisi he jhza daity hen"
Is moqa per Allah k frishty ne hazrat ibraheem k samny mainda
Rakh diya, taky baity k badly isko zibah kren .chunachy ap A. S ne aisa he kiya .Yahi wo qurbani hai jo Allah ki rah me qabool hoi.Aj he ferzandan e toheed isi nisbaat se ibraheem ki yad taza kerty hen Allah tala'h quran e qareem me fermya:
"Allah tak na qurbani ka ghosht ponchta hai, na khoon balky taqwa ponchta hai"
Hazrat ibrahim A. S falsteen me rehty thy , Hazrat hajhra or hazrat ismaeel A. S se milny k liye makkah moazma aty rahy. Aik mertba hazrat ibraheem A. S bait ul Allah ki tamer ki gharz se makkah tashreef laye, is waqat hazrat ismaeel ki umar 20 sal thi. Baap ne baity se mulaqaat ki .is waqat hazrat ibraheem A. S kafi A'arsy baad makkah tashreef laye thy. Hazrat ismaeel baap ko daikh ker pholy na smaye .khushi khushi ghaly mily. Hazrat ibraheem A. S ne apny baity Se fermya :
Be shaq tery rub ne mujhe is ghar (bait ul Allah) ki tameer ka hukam diya hai" hazrat ismaeel A. S ne kaha:
" Abbaa Jaan! Allah k hukam ki fran tameel kijye" baap ne fermya " Rub qainaat ne is azeem kam me tujhe merii madad kerny ka hukam diya hai" A'rz kiya " me hazir hon, ap ker guzrye "
Chunachy ka'aba ki tameer k liye dono tyar ho gaye.
Rawayt k mutabiq ka'aba ki tameer ka kam shuro ho gya . Hazrat jibraeel A. S k btany per baap or baity ne khdai ka kam shuro kiya .Hazrat Ismaeel A. S mazdoor k bais me pather la ker rakhty or hazrat Ibraheem A. S pather per pather rakh ker diwar buland kerty.
Riwayat k mutabiq koh e hira k pather bunyado'n me use howy .jab diwar itni buland ho gai k unchai per pather rakhna dashwar ho gya to Hazrat Ibrahim A. S ne apny ferzand se kaha k koi aisa pather tlash kero jis per khary ho ker dewar tameer ki jha saky.
Sayadina Ismael A. S aisa pather tlash ker k laye or usi pather per khary ho ker dewar tameer ki. Isi muqaam ko muqam e ibraheem k naam se yad kiya jhta hai .
Hazrat ismael A. S ko aim aisa pather mil gya jis ne roshni nikal rhi thi .hazrat Ismaeel A. S daikh ker heraan howy. Ap ne apny walid se pocha :
"Abba jaan. ! Ye pather konsa hai? "
Hazrat ibraheem A. S ne jwab diya :
" Ye wahi pather hai jo Hazrat jibraeel A. S jannat se laye hn
"is pather ko aik kony pee nasab kr diya gya"
Twaaf ka chaker isi muqaam se pora hota hai .
Hazrat ibraheem ko abu Ul Anbiya b kaha jhta hai.
Hazrat Ibrahim Story
Hazrat Ibrahim Kahani
Prophet Ibrahim Complete Story
Story Of Prophet Ibrahim | Hazrat Ibrahim Story
Comments
Post a Comment