Hazrat Adam (A.S) Ki Kahani | Hazrat Adam (A.S) Ki Story


HAZRAT ADAM A.S KI KAHANI | HAZRAT ADAM A.S STORY

HAZRAT ADAM A.S KI KAHANI | HAZRAT ADAM A.S STORY



Hazrat Adam A.S roh e zameen per rehny waly tmam insano k baap hain. In sy pehly koi basher na tha. Ap k baaad jo b paida howa wo apkii olad me se hai.

Azeem shurf:



Allah talah ne Hazrat adam A.S ko yeah shurf bakhsha k unhe apny Mubarak hathon se insani sourat me paida fermaya.


Hazrat Adam A.S ki pedaish:


Hazrat adam A.S ko tmam jahno k qony qony se juma ki gai khak se paida kiya gya . Or is me apni rooh phonki.Jab rooh ink ser ki terf se dakhil ki gai to unko cheenk ai or unhu ne Alhamdulillah kaha…
Jaisa k Adam A.S ko sari zameen se juma kii gai khak se paida kiya gya.Jo mukhtlif rango’n ki thi. Kahi sfeed , kahi qali , kahi surkh ,kahi nurm hai , kahi sakht hai…
To inki olad b esi khasiyat k sath paida hoi …



Also, Attempt Hazrat Ibrahim Quiz Test.



Adam A.S ka frishton ko salam:


Allah talah ne Adam A.S ko hukam diya k wo frishton ko salam kahyn , ye daikhny k liye k frishty jawab me kya kahty hn .
Adam A.S ne frishton se kha As salam O Alaikum ( tum per salamti ho). Frishton me jwan me kaha Wa Alaikum us salam (tum per b salamti ho) .


Frishton ka Adam A.S ko samjda:


Allah talah ne tmam frishton ko hukam diya k wo Adam ko sajda kren . sab frishton ne Allah k hukam ki tkmeel kerty howy Adam A.S ko sjda kiya.


Iblees (Shaitan) :


Iblees jin tha .Jab Allah talah ne tmam frishton ko Adam A.S ko sajda krny ka hukam diya to shaitan ne sajda krny se mna kr diya . Kuk frishton ko Allah ne nor se paida frmaya or jino ko Aagh se. Iblees ne groor or takubr kiya or shaitan ho gya .


Shaitan ki muhlat :


Shaitan ko isk groor or takbur ki waja se Allah talah ne naraz ho r jab jannat se nikal diya to us ne Allah se qyamat tak ki zindgi ki tmna ki . Allah talah ne usy qyamat tak ki zindgi ki muhlat dy di . Jab shaitan ko is bat ka yaqqen ho gya to us ne kha k wo qyamat tak ibn e Adam ko bekata or gunah ki terf mail krta rahy ga .


Hazrat hawa A.S ki pdaish :


Hazrat Hawa A.S Hazrat Adam A.S  ki pasli se ko paida kiya gya . WO dano jannat me khushi khushi rehny lagy . Wo jannat me her mukam tak jany k paband thy . laikin Allah talah ne unhy aik drakht k pas jany or uska phul khany se mna kr rkha tha .


Shaitan ki lugzish:


Shaitan ne Adam A.S or unki ahlia se pocha kya wo janty hn k Allah ne unhy is drakht k pas jany se mna ku kiya ha to unhn ne jawab diya nhii

Chunachy shaitan ne unhy lugzish di or kha k jo b is drakht k pas jaye ga or isk phul khaye ga usy kabi mout nhii aye gi or aisi shuhrat mily gi jisy zwal nhii . Shaitan ki bation me a kr dono ne us drakhat ka phul kha liya . ju he unhn ne aisa kiya wo be libas ho gaye . Adam A.S or unki ahlia apni ghalti per bohat sherminda thy unhn ne Allah se maafi mangii .Allah talah ne unhy maaf kr diya laikin jannat me rahny ki ijazt na di .


Adam A.S or Hawa A.S ki olaad :


Hazrat Adam A.S or Hawa A.S k pas aik waqat me aik jura ( aik larki or aik larka) paida hota tha jis ki shadi dosry waqat me paida hony waly jury se krwa di jati .


Adam A.S ka qud :


Hazrat Adam A.S ka 60 hath lmba tha .


Wafaat :



Hazrat Adam A.S ki wfaat hoi to unki umar takreebn 1 hazar salt thi . Apki wfaat k baad frishty jannat se kushbu or kafn ly kr Adam A.S k baity shees k pas taziyat k liye gaye.


Wseeyat :


Adam A.S ne marny se phly apni olaad shaitan k fraib se dour rehny or mushkil waqat me Allah he se madad mangny ki waseeyat ker rakhi thi.



“ A humary rub hum ne apny ap per zulam kiya or aghr tu ne hamy na bakhsha or hum per rehum na kiya to hum zroor khasara pany walon mese ho jayn gy”

Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers