Hazrat Hud Story | Story Of Hazrat Hud in Urdu/Hindi

Hazrat Hud (A.S) Ki Story In Urdu/Hindi | Story Of Hazrat Hud | Prophet Hud (A.S) 


Yamman mein aik qabila abaad tha .Iska naam Aaad tha. ye aik arab qabila tha .iski rehaish amman or Hazrat hud k dermyan rait k taily waly alaqy ahkaaf me thi . ye alaqa smander k kinary per waqya tha . ye bohat dolat mand or taqtwaar loge thy . in k qud itny lamby or twana thy k is qbily jaisy loge kisi or alaqy me na thy. arbi zuban me sab se phly inhi logn ne qlam kiya tha . (Hazrat Hud Story) 



Hazrat Hud (A.S) Ki Story In Roman English/Urdu

Hazrat Hud (A.S) Ki Story In Roman English/Urdu



 is alaqy ki zameen bohat zerkhaiz thi, barishyn bohat hotii thyn , bagaat beshmar thy. is qoom k pas bri miqdar me moweeshi thy jin se ye dood or khaiti bhari laity thy . ink baggat phlu se laady rehty thy 


(Hazrat Hud Story)


ye loge ameer or taqat waar hony k sath nmaish pasand thy . wo bhry bhry khaimy lgaty or inko oncha krny k liye lamby lamby stono ka sahara laity thy . ye bry alii shan mehlat tameer kerty thy goya inhy hmesha isi dunya me rahna tha. 

wo itny bhry muhal sirf dikhawy k liye kerty thy. unhn ne beshmar inamat ka shukr ada nhi kiya balky bhoton ki poja krty thy. apni taqat ko dosry qbail per hamla krk unki dolat per na jaiz qabza kerty . or be gunahon ko ghulam bna laity or be shumar gunahn ka irtkab kerty thy.


Hazrat Hud A.S ki Amad :


                                     Jab is qoom k zulam o sitam had se bhr gaye to Allah tala ne inki terf sayadinna Hud A.S ko nabi bna ker baija . Hazrat Hud A.S ka taluq b Aad qabila he se tha . or ye hazrat nuh A.S k baity saam ki olad thy. 


Islam ki dawat :


           Unho'n ne in log'n ko Allah ki ibadt kery ki terf dawat di . Buto'n ki ibadat kerny se mna fermya . 


Qoom ki nafermani :


                                     Qoom k bohat se logn ne ink baat manny se inkar kr diya .

hazrat hud A.S ne apni qoom se kaha agr wo Allah per imaan na laye . bot'n ko poja or ghalt kamo ko na chora to in per sakhat azab ajaye ga . 

               Qoom ko apki bation per sakhat tajub howa . Unhn ne kaha aik rub ki ibadt kaisy ker sakty hn .ink sardar kahny lagy hamy tum ahmaq nazr aty ho .or hum tmhy jhota khyal krty hn



Hazrat Hud A.S ne ink jawab me fermaya: 


                                                              mujh me ahmak wali koi bat nhi hai balky me apny rub ki terf se baija howa nabi hon tumhe Allah ka begam pohnchata hon or tumhara khair khwa hon.


 Qoom k kuch logn ka Hud A.S per eman :


                                                                                   Qoom k Aqalmand logon ne in ki bation ko maan liya or Ap A.S per  emaan ly aye . Qoom k qafir logo'n ne muslano ka mazaq uraya or unhy dabara gunah ki terf mail kerny ki koshish kerty or in se kahty tum apny jaisy aik admi ko nabi manty ho jo tumhari trha khata or pita h or tum ye b kahty ho hum merny k bad dobara zinda hon gy .



                      Hazrat hud A.S apni qoom ko musalsal apni qoom ko Allah ki toheed ki terf dawat daity rahy . Allah k beshumar inamat per shukr ada kerny ki tergheeb daity rehy . wo in se kahty k daikho Allah ne tumahry liye kitni naimtyn ata ki hn . Agr tum dunya me isk inamat ka shukr ada kro gy oe akaily rub ki ibadt kro hy to jannat k haqdar bn jao gy wahn itni naimtyn hon gi k inki dunya me koi misaal nhi na he inka dunya me taswoor kiya ja sakta . 

Qoom ne inki tmam bation ka jawab diya k hum bohat taqtwar qoom hn hum per koi azab nazil nhi ker sakta .



    Qoom ka Hud A.S ko challange:    

       

                                                                                   Qoom ne Hazrat Hud A.S ko challange kiya k agr tum sachy ho to apny rub se kaho k hum per azaab nazil kro jis se tum humy her waqat deraty rehty ho



Please Also Read Hazrat Adam Story


Azaab e Ilahi : 


                                        Jab un log'n ne inki bation ko na mana to Allah tala ne in per khush saali ka azaab nazil kiya ink khait ,khlyan or sehra me tabdeel hony lagy . in mushkil halat me wo Allah ki ibadat kerny ki bjaye boto'n ki terf raju kerny lagy . chunachy azaab or sakhat ho gya ab wo majborn drakhton k paty khany lagy.janwroon k liye chara khatm ho gya to wo kamzor ho ker marny lagy . Qoom per kahat sali ka ye azaab 3 sal tak musalsal jari rha.

 Unk khaity'n  or bagat jin per wo groor or fakhr kerty thy wo daikhty he daikhty sehra me tabdeel ho gaye . khud inki apni ye kafyat thi k ink bhary jisam jo kabi bohat taqtwar thy wo kamzoor ho gaye .... pori qoom is kahat sali se bohat preshan thi . aik din unhn ne daikha k asmaan per kaly kaly badal cha rhy hn .ap sab janty hn k kali ghta cha jaye to khub barish ki umeed hoti h chunachy wo bohat khush howy unka khyal tha k khob barish ho gi inki khatyan hari bhari ho jay'n gi . 


 achank teez andhi chalny lagi jo unk khaimo'n ko orati chlii gai . Aandi is qadr teez or khofnaq thi k hewan is me urty nazr aty jab wo zameen per girty tabi mar jaty . jahn tak is qoom k insano ka taluq tha hwa inko kagiz k purzo'n ki terha uthati or zameen per dy marti ink ser tun se juda ajaty .

Qoom e Aad k loge is azab se bachny k liye ghron se nikal perty . wo mukhtlif simton me baghty chaly gaye magr hwa or aandi inka her jga picha krti thi . ye tofaan 7 ratyn or 8 din jari rha halnky tmam qafir halaq ho gaye inki laashyn is terha perii thyn jaisy khajor k khokhly tany  hon unko baad me any waly logn k liye nishan e ebrut bana diya gya . 

Allah tala ne in per in se zyada taqtwaar hwa musalat kr di . ink but jinki wo poja kerty thy sab toot gaye . 


Hud A.S or ink momin sathi:


                                                        Allah tala ne apny nabi Hazrat Hud A.S or ink tmam momin sathyn ko apny qaram se inko is toofan se nijat ata ki . Allah ne un se wada kiya tha k ye tofan momino ko koi nuqsan nhi pohnchaye ga . chunachy, yahi tofan jab momino k pas se guzrta to ink liye thandi hawa me tabdeel ho jata unk ghar b mehfooz rehy .

jab tofan ruk gya to Hazrat Hud A.S apny momin sathyn k sath yamn k indroni hisy me abaad ho gaye or apny Allah ki ibadat me mashgool ho gaye .

                                          "Beshaq mene Allah tala per brosa kiya hai jo mera rub hai or tumhara rub hai . zameen per chalny wala aisa koi jandaar nhi jisy is ne iski paishani k balo'n se na pakr rakha ho. Beshaq mera rub sirat e Mustaqem per hai".



Also recommended :

(1): HAZRAT ADAM AS KI KAHANI | HAZRAT ADAM (AS) STORY

Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers