Hazrat Adam Se Pehle Ki Duniya Kaisi Thi

 Hazrat Adam Se Pehle Ki Duniya Kaisi Thi 




Hazrat Adam Se Pehle Ki Duniya Kaisi Thi In Urdu/Hindi

Hazrat Adam Se Pehle Ki Duniya Kaisi Thi



Hazrat Adam Story



 Hazrat Adam A.S se pehly ki dunya:


                                         Allah tala’h Her cheez ka paida kerny wala hai or wo her cheez per qadar hai. Or Allah tala’ah wo hai jis ne zmeen o asman or is me bsney wali her cheez ko takhleeq kiya.Wo tmam jahano ka paida kerny wala hai her cheez usi k ikhtyar me hai .


 Asman o Zameen ki pdaish


                                            Allah tala’h ne asman o zameen ko 6 din me paida ferma diya or phr Arsh per jalwa ferma howa .



 Allah taala’h Quran me Arshaad fermaty hn :


                                                         Wahi hai jis ne asmaano or zameen ko 6 din me paida ferma diya or phr arsh per jalwa ferma howa .Wo khoob janta hai her us cheez ko jo zameen me jaye or us se nikly or jo kuch  asmaan se nichy aye  or jo kuch us me char ker jaye  or jahn kahi tm ho wo tumhary sath hai or Allah tumhary amal ko daikh raha hai . (Al – Hadeed  27:17:4)


Allah talah Quran me Arshaad fermata hai


Or Allah he wo zaat hai jis ne 6 din me asmano or zameen ko bnaya or uska arsh pani per tha .(tumhary paida kerny se )maqsood ye hai k wo tum ko azmaye k tum me amma k lehaz se kon behter hai . Ager tum kaho k tum loge merny k baad dobara uthaye jao gy to qafir kah den gy k ye to khula jado hai .( Hud 12:11:7). Imam ahmad bin humble ne abu azeem uqaili se byan kiya hai k :

                               “ A  Allah k rasool S.A asmano or zameen ko paida kerny se pehly hmara perwardigar kahn tha”?

        Ap ne fermaya Allah k sewa kuch b na tha na  usk oper hawa thi  na usk nichy hawa thi matlb ye k kuch na tha----- 

                             phr us ne pani per apna arsh paida kiya.


(World Before Hazrat Adam)



                                                                     
Hazrat Adam Story   

Qalam ki pdaish :


                  Imam termzi ,imam abu daoud or bohat se dosry muhadeseen ne syadinna ibada bin sameeed R.A ki riwayat byan ki hai k mene Rasool akrum S.A.W  ko fermaty  howy suna 

       “ wo ferma rhy thy k bilashuba Allah ne sab se phly qalam ko paida kiya Allah ne usy hukam diya likh or wo chal pera or qyamat tak hony wali her cheez likh di gai” .



Pani per Arsh ki takhleeq:


                              Yman se aye howy aik wafad ne Hazrat Muhammad S.A.W se kaha K hum ap se ibtaye khalq or deen ki samjh k bhary me pocny aye hn Ap ne femaya Allah se pahly kuch na tha or is ka Arsh pani per tha yani pehly Pani per arsh ki takhleeq hoi phr qualm ki pdaish hoi.


Asman or zameen ki makhloqat ki terteeeb :


is bhary me Imam muslim rehmatullah aly ne  Sayadinna Abu haraira R.A ki rwayt paish ki hai: 

     Wo kahty hain Nabi Akrum S.A.W ne mera hath pakra or fermaya Allah tala’h ne

Hafty(Saturday) k din Maati ko paida kiya

Itwaar(Sunday) k din zameen me phaar(mountains) ko paida kiy

Peer(Monday ) k din drakhat(trees)

Mangul(Tuesday ) k din tkaleef , msaib or bimaryn

Bud(Wednesday) k din noor ko paida fermaya

 Jumarat(Thursday) k din zameen me chupayo,n ko pheela diya

Or tmam mukhluqat me jummy(Friday) k din ki akhri gharyo’n yani asar se raat k dermyan me adam A.S ko paida kiya .

Is hadees se ye maloom hota hai k  sab se akhair me Adam A.S  ko paida kiya gya . Jo k nusle insane me sab se pahly or tmam insane  k baap hn .



Insan se phly frisht’n or jinnat  ki pdaish: 


                                               Sahb e aqal mukhlooqat me sab se phla number frishton ka 2sr number  jinnat ka  or phr akhir me insano ka hai .Frishton ka thikana asman me hai.



Allah tala’h Quran pak  me fermaty hen :


                                                “Qareeb hai k asman  apny oper se phat prhyn or tmam frishty apny Parwardighar  ki tareef k sath  tasbi  krty  rehty hen or zameen walon k liye astagfirullah  kerty  rehty hen . Sun Rakho  Allah maf kerny wala or Mehrban hai “(sourat Ash-shura  ayat number  5).


Frishto’n or jiino’n ki pdaish: 


        Syadina Ayesha se rewayat hai k ap S.A.W ne fermaya: 

                                                                 “ Frishton ko noor or jino ko aagh se paida kiya gya or AdamA.S  ko us cheez se paida kiya jo tmhary liye byan ker di gai hai yani mati se . Frishton ki takhleeq k baad jino ko paida kiya gya tha . Jino ko insano se pehly paida kiya gya tha .( Muslim sharef)



                                                                Hazrat Adam Story


Allah tala’ah ka Arshaad hai :



“Or is se phly jinat ko hum ne loo wali aagh se paida kiya .  

 Jino ko aagh ki jhar se nhii bulky aagh k shuly k kinary se piada kiya gya

                                          *( souat AL- hijr ayat27 )*


Jinnat ki asal or bunyad :


        Quran me Allah ne shitan ka qool naqal kiya hai  Allah  Tu ne mujhe Agh se paida kiya . (Al – Quran )

 Or iblees jino mese tha . (AL-Quran )

 

 Hasaan Basrii R.A  fermaty hn k :


Wo   palk jupkny k braber b frishton ki jins me dakhil nhi howa or na he wo kbi frishton me shumar kiya gya wo jinnat mese hai or khudus ne  itraf kiya tha .

 A LLAH tu ne mujhe aag se paida kiya hai

 Ager wo frishta hota to wo ye kahta (A Allah tu ne mujhe Noor se paida kiya) 


            Adam ki pdaish se 2000 sal phly jinnat paida kiye gaye wo hmari is zameen per rehaish pazeer thy. Ahista ahista wo fisqo fasad me mubtla ho gaye jub wo fitna fassad me hud se bhr gayeor  na huq khun bhany lagy to Allah tala’ah ne frishton ka azeeem lashkr baija unse jinat ki zbrdast marka aria hoi jis me frishton ne jinnat ko tehs nehs kr diya or wo smondrn k jazeeron me pnah lainy per majbor ho hgaye .Zammen k her bre azam se unhy jilawatn kr diya . Aj tuk unka masqun ye jazeery or azeem marakiz h.



Hazrat Adam Se Pehle Ki Duniya Kaisi Thi

Hazrat Adam  Ki Story In Urdu 

Hazrat Adam Ka Pehla Qadam

Hazrat Adam Se Pehly Duniya Kaisy Thi


Comments

Popular posts from this blog

Islamic quiz questions and answers