Hadees e Nabvi | Hadees In Urdu | Hadees In Roman English
We Also Recommend You |
1. Hadees e Mubaraka (Kis waqat ka khwab zyada sacha hota hai ?)
“Hazrat Abu Sayad khudri R.A Nabi Qareem S.A.W se rewayat kerty hen k Ap S.A.W ne fermaya pechly pehr ka khwab zyada sacha hota hai”
(Tirmzi wdarmi Rehmatullah)
Hadees e Nabvi Hadees In Urdu |
2. Hadees e Mubaraka(Draona khwab shaitani aser hai isko kisi k samny byan na kero )
“Hazrat Jaber kehty hen k Aik din Hazrat Muhammad S.A.W ki khidmat me aik dehati aya or Arz kiya k me ne khwab me daikha hai k ghoya mera ser kaat dhala gya hai .Jaber R.A kehty hen k NaBI Qreem S.A.W ye sun ker hans diye or fermaya k jab tum mese kisi shakhs k khwab me isk sath shaitan tmasha kery to wo is khwab ko logho’n k samny byan na kry”
(Muslim)
![]() |
Hadees e Nabvi Hadees In Urdu images |
3. Hadees e Mubaraka(bura khwab daikhy to kya kery )
“Hazrat Jaber R.A kehty hen k Rasol Akrum S.A.W ne fermaya “jab tum mese koi shakhs aisa khwab daikhy jisy wo napasand kerta ho tu usy chahye k baeyn (left) terf 3 bhar thatkar dy or 3 bhar shaitan se Allah kip nah mangy or apni qerwat ko tabdeel kry jis per wo khwab daikhny k waqat soya howa tha”
(Muslim)
![]() |
Hadees e Nabvi Hadees In Urdu images |
4. Hadees e Mubaraka(bukhar ka ilaj or pani )
“Hzrat Ayesha or Hazrat Ibn e khudeejh R.A Nabi Qreem S.A.W se naqal kerti hen k Ap S.A.W ne fermaya bukhar jahanm ki bhap hai lahaza tum isko pani se thanda kero”
(Bukhari o Muslim)
5. Hadees e Mubaraka(Qalvanji ki khaseyat )
“Hazrat Abu Huraira se rewayat hai k unhon ne Hazoor Akrum S.A.W ko ye fermaty howy suna k sya dana saam k waqat k ilawa her bemari k liye sheaf hai .Ibn e Shahab ne byan kiya k saam se mout murad hai or sya dana se qalvanji muraad hai”
(Bukhari o Muslim)
![]() |
Hadees e Nabvi Hadees In Urdu images |
Hadees e Nabvi | Hadees In Urdu In PDF Form |
Comments
Post a Comment